Qurbani ki khaal ka hukm - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Tuesday, August 13, 2019

Qurbani ki khaal ka hukm

*Qurbani ki khaal ka hukm*

⭕Aaj ka sawal no. 1821⭕

1⃣. Qurbani ki khaal apne kaam me laa sakte hain ?
Khud rakh sakte hain ?

2⃣. Qurbani ke janwar ki khaal masjid, Madarsah me de sakte hain ?

3⃣. Imam sahab aur muazzin sahab ko khaal de sakte hain ?

🔵Jawab🔵

1⃣. Jee haan, qurbani ki khaal apne isteamal me la sakte hain, agar bech den to fir iski qimat garib ko dena lazim hoti hai.

📚Kitabul masail 2/250

2⃣. Janwar ki khaal jab tak beche nahi tab tak woh gosht ki tarah hai aur usi ke hukm hai, ya'ani aap jis tarah gosht kisi ko bhi de sakte hain usi tarah khaal bhi de sakte hain.(fir jisko khaal de di woh chahe to bech sakta hai) albatta agar paiso se bech den to fir woh zakat ki tarah ho jati hai. Ya'ani ab usko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri hai. Masjid me khaal nahin de sakte kyun ke usme koi malik nahin  ban raha hai, aur Madarsah me dena jaaiz balke afzal hai,  kyun ke woh khaal bechkar uske paise Madarsah me padhne wale bacho par kharch kiye jate hain (uska aur ilm ko felane ka sawab aap ko bhi milega) isee tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi hukm hai ke agar woh bech kar garibo ko paise ya kitaben, kapde, makan malik bana kar dete hain to unko de sakte hain, warna nahin.

Ya'ani malik banakar nahin deta balke in cheezon ko kiraye se ya sirf free me isteamal ke liye dete hai ya us raqam ko khud jamat ke kamon me bataure qarz isteamal karte rehte hain to aisi tanzim wa jamat ko nahin dena chahiye.

Aur khaal bechne ke baad yeh paise garibon ko jahaan tak ho sake jald se jald malik bana kar dekar apni zimmedari se chhutkara hasil kare, sharaee wajah bagair takheer karna karahat-makrooh hone se khali nahin.

📚Mustafad az  aap ke masail aur un ka hal 5/466

📚Fatawa raheemiyah karanchi 10/42 se mustafad

3⃣. Imam, muazzin, wagera hazraat ko unki tankhah me khaal nahin de sakte, un ki tankhah aur ujrat alag se hai, aise hi khushi se de rahe hain to de sakte hain. (Aur woh hazraat bech kar uske paise isteamal kar sakte hain)

📚Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466

و الله اعلم بالصواب

🗓12 zilhijjah, 1440 hijri

📝M. Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
https://ift.tt/2KIBUHx



No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot