- Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Sunday, April 12, 2020

✦.............► C O R O N A V I R U S ◄.............✦
✦......►► Hifazat Ki 2 Masnun Duaye ◄◄......✦

❶ أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ ‏.

Main Allah Ke Kamil Kalimaat Ke Zariye Un Tamam Chizon Ke Shar Se Panah Mangta Hun, Jo Us Ne Paida Ki Hain 

“Jo Shaks Kisi Jage Utar Kar Ye Alfaz Kehle To Us Jage Se Rawana Hone Tak Use Koi Cheez Nuqsan Nahin Pohnchayegi.” (Muslim: 2708)

❷ بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

Allah Ke Naam Ke Sath (Main Subah (Ya Sham) Ka Aagaz Karta Hun) Jis Ke Naam Ke Sath Zameen o Aasman Ki Koi Cheez Nuqsan Nahin Pohncha Sakti, Aur Wo Khoob Sunne Wala, Khoob Janne Wala Hai. 

“Jo Shaks Bhi Har Din Ki Subah Aur Har Raat Ki Sham Teen, Teen Baar Ye Dua Padhle To Use Koi Cheez Nuqsan Nahin Pohnchayegi.” (Tirmidhi:3388)

●════════════════◄►═══════════════●

❶ أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ ‏.
Khaula bint Hakim Sulamiyya reported: I heard Allah's Messenger (ﷺ) as saying: When anyone lands at a place, and then says:" I seek refuge in the Perfect Word of Allah from the evil of what He has created," nothing would harm him until he marches from that stopping place. (Sahih Muslim: 2708)

❷ بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
The Messenger of Allah (ﷺ) said: “There is no worshiper who says, in the morning of every day, and the evening of every night: ‘In the Name of Allah, who with His Name, nothing in the earth or the heavens can cause harm, and He is the Hearing, the Knowing (Bismillāh, alladhi lā yaḍurru ma`a ismihi shai'un fil-arḍi wa lā fis-samā', wa huwas-Samī`ul `Alīm)’ – three times, (except that) nothing shall harm him.” Jami` at-Tirmidhi :3388)


Irshade Khudawandi Hai: “Waqia Ye Hai Ke Ham Ne Un Ko (Aik Martaba) Azab Mein Pakda Tha, To Us Waqt Bhi Ye Log Apne Parwardigar Ke Samne Nahin Jhuke, Aur Ye To Aajizi Ki Rawish Ekhtiyar Karte Hi Nahin Hain, Yahan Tak Ke Jab Ham Un Par Sakht Azab Wala Darwazah Khol Denge, To Ye Aik Dum Us Mein Mayoos Ho Kar Reh Jayenge.” (Al-Quran, Surah Al-Mu’minun:76,77)

And indeed We seized them with punishment, but they humbled not themselves to their Lord, nor did they invoke (Allah) with submission to Him. Until, when We open for them the gate of severe punishment, then lo! They will be plunged into destruction with deep regrets, sorrows and in despair. (Al-Quran, Surah Al-Mu’minun:76,77)


✦.......► Coronavirus Ki Dawa Daryaft Karna ◄.......✦
✦......► Muslim Doctors Par Aayed Zimmedari ◄......✦

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ne Jo Bimari Nazil Ki Hai To (Use Door Karne Ke Liye) Us Ki Shifa Bhi Nazil Ki Hai.” (Sahih al-Bukhari: 5678)

Neez Aap ﷺ Ne Farmaya “Har Bimari Ki Dawa Hai…. Pus Jab (Bimar Ko) Bimari Ki Sahih Dawa Mil Jaye To Wo Allah Ke Hukum Se Sahetyaab Ho Jata Hai.” (Sahih Muslim :2204)

●════════════════◄►═══════════════●

The Prophet (ﷺ) said, "There is no disease that Allah has created, except that He also has created its treatment." (Sahih al-Bukhari: 5678)

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: There is a remedy for every malady, and when the remedy is applied to the disease it is cured with the permission of Allah, the Exalted and Glorious. (Sahih Muslim :2204)



❤️ Allah Ta'ala Ne Coronavirus Jaisi Bimari Se Aap Ko Mahfooz Rakha Ho To Is Par Alhamdulillah Kahen, Sahet Aik Nemat Hai Nemat Ke Cheen Jane Se Qabl Shukr Ada Karen ❤️ الْحَمْدُ لِلَّه


Salat At-Tasbeeh Ka Tariqa Aur Salat Al-Tawbah


Salat At-Tasbeeh Ka Tariqa Aur Salat Al-Tawbah

Salat At-Tasbeeh Ka Tariqa Aur Salat Al-Tawbah


Salat At-Tasbeeh Ka Tariqa Aur Salat Al-Tawbah


Shabe Bara’at Aur Rahe Aitedal!


●◗► Shabe Bara'at Mein Rab Ki Maghfirat Se Mahroom Reh Jane Wale, Allah Ta'ala Ke Huzoor Har Qism Ke Gunah Se Tawbah Karen Taa Ke Dunya Aur Aakhirat Sanwar Jayen.


►Taqriban Har Saal 1 Ya 2 Martaba Azab Ki Shaklen!!! ◄

✦.......► Aakhir Kyun? ◄........✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain: “Kya Ye Log Dekhte Nahin Ke Wo Har Saal Aik Ya Do Martaba Kisi Aazmayesh Mein Mubtela Hote Hain, Phir Bhi Na Wo Tawbah Karte Hain Aur Na Koi Sabaq Hasil Karte Hain.” (Al-Quran, Surah At-Tawbah:126)


●◗► Jumah Ki Namaz Mein Hasil Hone Wale Chandah Se Aksar Masajid Ke Akhrajaat Aur Imam, Muazzin Aur Khadimeen Ki Tankhuahen Ada Hoti Hain.

Pabandi Ki Wajah Se Yaqinan Maali Masayel Ka Samna Hoga, Tamam Dost Ahbab Apne Apne Muhalle Ki Masajid Mein Hasbe Aadat Kuch Na Kuch Pohnchaden, Masajid Hamare Qile Hain Aur Ham Hi Apni Masajid Ke Muhafiz Hain.


●◗► Mayoos Na Hon! Hajj Bhi Hoga, Umrah Bhi Hoga, Tawaf Bhi Hoga Aur Rozgaar Bhi Hoga InshaAllah … Kyun Ke Irshade Khudawandi Hai: “Yaqinan Mushkilat Ke Sath Aasani Bhi Hoti Hai.” (Al-Quran, Ash-Sharh:6)


✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban Ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Ayyam Beez (Yani Har Qamri Maah Ki 13,14 Aur 15 Tarikhon) Ke Rozon Ko Zindagi Bhar Roze Rakhne Ke Barabar Qarar Diya Hai, Ayyame Beez Ke Roze Har Qamri Maah Mein Masnoon Hain Lekin Chunke Khususiyat Ke Sath Mahe Sha’ban Mein Roze Rakhne Ke Fazayel Bhi Ahadeese Mubarka Mein Warid Hain, Is Liye Mahe Sha’ban Mein Ayyame Beez Ke Rozon Ka Aur Zyadah Ehtemam Karne Ki Zarurat Hai.

Neez Maahe Sha’ban Mein Ayyame Beez Ke Roze Rakhne Se Aik Mukhtalif Fiya Masle Ka Hal Nikal Aata Hai Aur Wo Ye Hai Ke Baaz Hazraat Khaas Pandhra Sha’ban Ke Roze Ko Masnoon Samajhte Hain, Jab Ke Muhaqqiq Raye Yahi Hai Ke Khaas 15 Sha’ban Ka Rozah Masnoon Nahin, Lekin Agar Kisi Ko 15 Sha’ban Ke Roze Rakhne Ka Shoq Aur Walwala Hai To Wo Ayyame Beez Ke Roze Rakhle, 15 Sha’ban Ka Rozah Bhi Is Mein Shamil Ho Jayega.

Is Hawale Se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain:

“Agar Koi Shaks In Do Wajah Se 15 Sha’ban Ka Rozah Rakhe, Aik Is Waja Se Ke Ye Sha’ban Ka Din Hai [Aur Maahe Sha’ban Ke Roze Masnoon Hain], Dusre Is Wajah Se Ke Ye 15 Tareeq Ayyame Beez Mein Dakhil Hai, Agar Is Niyyat Se Rozah Rakh Le To InshaAllah Muajjabe Ajr Hoga, Lekin Khaas 15 Tareekh Ki Khususiyat Ke Lihaz Se Is Roze Ko Sunnat Qarar Dena Baaz Ulama Ke Nazdeek Durust Nahin.” (Islahi Khutbat : Jild 4 : Safah 268)


●◗► Hath Aur Muh Dhone Ke Sath Sath Mukammal Wuzu Karliya Karen!!! Corona Ke Jaraseem Ke Sath Sath Gunah Bhi Dhul Jayenge.



●◗► Karobar Aur Markets Band Hain....Log Gharon Mein Qaid Hain....Waqt Ko Qeemti Banane Ka Behtareen Tariqa Ye Hai Ke Quran Majeed Ki Tilawat Karen, Mustannad Tarjuma Aur Tafseer Ka Mutala Karen Aur Deen Seekhne Ki Koshish Karen.. InshaAllah Waqt Qeemti Banega.


✦..........♥  Sajdah Shukr  ♥..........✦

Narrated AbuBakrah RadiyAllahu Anhu: "When anything came to the Prophet (ﷺ) which caused pleasure (or, by which he was made glad), he ﷺ  prostrated himself in gratitude to Allah."

Urdu Translation: Hazrat Abu Bakrah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke “Jab Koi Khushi Ki Baat Nabi  ﷺ Akram Ke Samne Aati Ya Aap ﷺ Ko Koi Khush Khabri Sunayi Jati To Aap ﷺ Allah Ka Shukr Ada Karte Hue Sajdah Mein Gir Jate.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 14 :: Hadith 2768,2774]


Yaa Arhamar Rahimeen! Ye Raunaqen Phir Se Bahaal Farmade. Aameen



✦....♥ Corona Ke Mareez Is Qurani Dua Ka Ehtemam Karen! ♥....✦

Allah Ke Nabi Hazrat Ayyub Alaihis Salam Aik Khatar Naak Mauzi Marz Mein Mubtela Ho Gaye, Un Ke Badan Mubarak Ke Tamam Aaza Us Bimari Se Buri Tarah Mutassir Ho Gaye Siwaye Zuban Aur Dil Ke Aur Wo Us Halat Mein Bhi Zuban Aur Dil Se Allah Ko Yaad Karte Rahe Aur Shukr Baja Late Rahe, Us Mauzi Bimari Ki Waja Se Sab Azizon, Doston Aur Padosiyon Ne Un Ko Aabadi Se Alag Kar Ke Wirane Mein Daal Diya, Koi Un Ke Paas Na Jata Tha Siwaye Un Ki Wafa Shaar Biwi Ke Jo Musalsal Un Ki Khidmat Mein Masroof Rehtin. (Makhuz Az Maariful Quran, Safa: 215, Jild: 8)

Baad Azaan Hazrat Ayyub Alaihis Salam Ne Darj Zail Alfaz Ke Sath Allah Ko Pukara To Allah Ne Un Se Wo Mauzi Marz Door Farma Diya.

ربِّ إنّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ‎
(Aye Mere Rab!) Mujhe Ye Takleef Lag Gayi Hai, Aur Aap Sare Rahem Karne Walon Mein Badh Kar Rahem Karne Wale Hain.


✦.......► Bimar Par Kya Dum Karen? ◄........✦

'A'isha RadiyAllahu Anha reported that when any of the members of the household fell ill Allah's Messenger (ﷺ) used to blow over him by reciting Mu'awwidhatan (Surah Al-Falaq and Surah An-Nas),…

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Jab Ghar Mein Koi Bimar Hota To RasoolAllah ﷺ Us Par Mu'awwidhat (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) Padh Kar Phoonkte...

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5439, 2192]


Jise Chaha Dar Pe Bula Liya! Jise Chaha Apna Bana Liya! Ye Bade Karam Ke Hain Faisle, Ye Bade Naseeb Ki Baat Hai!!!


✦.......► Ba Wafa Sharike Hayaat? ◄........✦

●◗► Shohar Ki Wafa Ka Biwi Ki Bimari Mein Pata Chalta Hai Ke Sikka Khota Hai Ya Khara…Isi Tarah Biwi Ki Dildari Ka Shohar Ki Berozgari Mein Pata Chalta Hai Ke Kaghazi Hamsafar Hai Ya Waqeyi Shareeke Hayaat Hai.


❤️ In Ki Bhi Family Hai Ye Bhi Kisi Ki Maa, Bahen, Beti, Biwi Hai In Sab Ke Bawajood Ye Awam Ki Khidmat Mein Lage Hain Corona Virus Mein Mubtela Marizon Ka Ilaaj Kar Rahe Hain Ya Allah Tamam Doctors Ki Hifazat Farmana. Aameen ❤️


Sir Se Paon Tak Protection Lene Ke Bawajood Doctor Positive Paye Ja Rahe Hain Aur Aap 20 Rupye Ka Mask Pahen Kar Superman Ban Rahen, Sadkon Par Ghoom Rahe Hain, Ghar Par Rahiye Nahin To Aap Ki Ghalti Ka Anjam 👉 Aap Ke Ghar Wale Bhugtenge.


●◗► India Lockdown: Raat Sone Se Pehle Ird Gird Nazar Daudayen Ke Koi Shaks Bhuka To Nahin!

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Basti Mein Kisi Shaks Ne Aisi Halat Mein Subah Ki Ke Wo Raat Bhar Bhuka Raha To Us Basti Walon Se Allah Rabbul Izzat Ki Hifazat o Nigrani Ka Wadah Khatam.” (Musannaf Ibn Abi Shaybah: 48)


☕ China Doctor Ke Baqoul Virus Chahe Naak Mein Ho Ya Gale Mein Ya Sans Ki Nali Hatta Ke Phephdon Tak Bhi Pahonch Chuka Ho Garam Pani Ka Bhaap Lene Aur Pine Se Marta Hai  ☕


👥 Ghazab Ka Virus Hai Pehle Hi Logon Mein Kya Kam Duriyan Thi Jo Is Ne Aakar Aur Badhadi 👥


✦...♥ Sha'ban: Ramadan Al-Mubarak Ke Intezar ka Mahina ♥...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'ban (ki tareekhen) ko yaad rakhne ka jis qadar Ehtemam farmate itna kisi Dusre mahine (ki tareekhon) ka Ehtemam nahi farmate (kyun ke Sha'ban ke Ekhtetam par Ramadan ke Aagaz ka madar hai) phir Jab Ramadan ka chand Nazar Aata to roze rakhte, aur Agar Matla’a Abar Alood hone ki wajah se (29 sha'ban ko) Chand nazar na Aata to (sha'ban ke) 30 din poore farmate aur phir Roze rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555, 2327]


😢 Aye Mere Allah! Jis Maut Mein Ghusul Nahin, Janazah Nahin, Rishtedar Paas Nahin Aasakte, Aisi Bhayanak Maut Se Tamam Musalmanon Ki Hifazat Farmana. آمین 😢


Wabai Amraz Mein Durood Shareef Ki Kasrat!


👥 Coronavirus Yaqinan Azab Hai Dunya Ke Liye Siwaye Mominon Ke, Mominon Ke Liye Ye Aazmayesh Hai Is Aazmayesh Ke Waqt Khud Apne Liye Aazmayesh Mat Badayen, Is Aazmayesh Mein Tees Maar Khan Mat Baniye, Ehtiyat Barte Par Har Haal Mein Alhamdulillah Kahe Is Yaqeen Ke Sath Ki Allah Ne Har Haal Mein Hamare Liye Khair Rakha Hai 👥


✦.......► Sahet Ya Khatrah Maut ◄........✦

⇨ Mask Pahenna, Ventilator Se Behtar Hai
⇨ Ghar Mein Rehna, ICU Mein Rehne Se Behtar Hai
⇨ Hath Dhona, Zindagi Se Hath Dhone Se Behtar Hai.


✦...............►Wabaye Aam Ke Moqe Par◄...............✦
♥ Ghar Mein Taherne Par Shaheed Jaisa Ajr o Sawab! ♥

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Taoon Zadah Ilaqe Mein Sabr Ke Sath Apne Ghar Mein Tehra Rahe Aur Yaqeen Rakhe Ke Use Sirf Wahi Museebat Pohnchegi Jo Allah Ne Us Ke Liye Likh Di Hai To Use Shaheed Jaisa Ajr o Sawab Milega.” (Musnad Ahmad:26139)

 Hadeese Bala Ka Mafhoom Ye Hai Ke Jo Shaks Wabaye Aam Aur Taoon Ke Moqe Par Sabr, Sawab Ki Ummid, Aqide Ki Durustugi Aur Taqdeer Par Iman Ke Sath Apne Ghar Mein Tehra Rahe To Us Ke Liye Shaheed Jaisa Ajr o Sawab Hai Agarche Use Us Waba Mein Maut Bhi Na Aaye. (Makhuz Az Fath Al-Bari Ibn Hajar:194, Jild 10)

✦.....► Coronavirus Dunya Bhar Mein Kyun Phaila? ◄......✦

Hazrat Ka’b RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke: “Jab Tum Dekho Ke Waba Phail Chuki Hai To Samajh Lena Ke Zina Phail Chuka Hai.” (Al-Jami' li Shu'ab Al-Iman:22, Jild:5)


Wo Shami Baccha To Yaad Hi Hoga Na... Jis Ne Kahan Tha "Main Apne Allah Ko Upar Jakar Sab Bataunga" Lagta Hai Us Ne Sab Bata Diya 😢


Aye Allah! Hifazat Farma: “Aye Bari Ta’ala! Ye Coronavirus Teri Hi Aik Makhluq Hai, Tu Jise Chahta Hai, Is Mein Mubtela Kar Deta Hai, Aur Jise Chahe Is Se Mahfooz Rakhta Hai, Aye Ilahal Aalameen! Hamen, Hamare Ahle Khana, Hamare Azizon, Hamare Gharon, Hamare Mulk Aur Tamam Musalman Mulkon Ko Is Se Mahfooz Farma, Aameen!”


“Coronavirus Aik Haqiqi Khatrah Hai, Agla Aik Mahina Kam Az Kam Bharat Ke Liye Khuda Na Khuasta Sakht Ho Sakta Hai, Gharon Mein Band Rehne Ki Tayyari Kijiye, Itwar Ka Janta Curfew Mahez Aik Rehearsal Hai, Aane Wale Dinon Mein Is Ko Biljabr Lagu Kiya Ja Sakta Hai, Filhaal Bharat Ke Paas Yahi Aik Hul Hai, Is Mulk Ke Kamzor Aur Corrupt Sahet Ke Nizam Ki Waja Se Ye Mumkin Nahin Hai Ke China Ki Tarah Is Waba Ko Control Kiya Ja Sake.”


No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot