IFTAR JALDI KARNA AUR USKE MUTALLIK MALUMAT-01 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Tuesday, April 28, 2020

IFTAR JALDI KARNA AUR USKE MUTALLIK MALUMAT-01

 بسمہ سبحانه وتعالیٰ  

┆  🔮RAMZAN SPECIAl

❝ 𝕻 𝖆 𝖗 𝖙  - 05❞


📥 IFTAR JALDI KARNA AUR USKE MUTALLIK MALUMAT-01.

IFTAR KI DUA - ALLAHUMMA INNI LAKA SUMTU VA-BIKA AAMANTU VA ALAIKA TAVAKKALTU VA ALAA RIZKIKA AFTARTU FATAKABBAL MINNI.

Tarjuma - Aye Allah Mene Tere Hee Liye Roza Rakha, Aur Tujhi Par Imaan Laya, Aur Tujhi Par Bharosa Kiya, Aur Tere Hee Diye Hue Rizk Se Iftar Kiya, To Tu Is Roze Ko Meri Taraf Se Qabul Karle.

IFTAR KE BAAD KI DUA - ZAHABAZ ZAMA-U WABTALLATIL UROOQU WA SABATAL AJRU INSHA ALLAHU.

Tarjuma- Pyaas Buj Gayi Aur Rage Tar Ho Gayi Aur Sawab Lazim Ho Gaya Insha Allah

Jab Iftar Ka Vakt Ho Jane Ka Yakin Ho Jaye To Fauran Iftar Kar Lena Chahiye Usme Der Nahi Karni Chahiye.

Aur Doosri Baat Ye Hai Ke Kaun Si Cheez Se Iftar Karna Mustahab Aur Pasandida He.

Aur Teesri Baat Ye Ke Iftar Ke Baad Kaun Si Dua Padhni Chahiye.

❆ LOG BHALAI ME RAHENGE.

Huzur  ﷺ  Ne Irshad Farmaya Jab Tak Log Iftar Me Jaldi Karte Rahenge Tab Tak Bhalai Me Rahenge.

📂 MUTTAFAKUN ALAYAHI/1233 AN SAHAL BIN SAAD SAIDI.

🤲🏾 PESHKASH- MAKTABA ASHRAF.

💠💠💠🍃🍃🍃💠💠💠


No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot