┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Zakaat*
*✾ Part - 03 ✾*
❁✸❁✸❁✸❁
*❧ Kis maal mein zakaat farz hai?*
(1) Sona.
(2) Chaandi.
(3) Rupiye Paise.
(4) Maale Tijaarat.(Har woh cheez jise bechne ke iraade se khareeda ho).
(5) Zameen ki paidaawaar.
(6) Maweshi (Paaltu Jaanwar).
*❧ Zakaat ka Nisaab:* Jin maalon mein zakaat farz hai, shareeat ne un ki khaas khaas miqdaar muqarrar kardi hai; mal ki usi khaas miqdaar ko “Nisaab" kehte hain. Jab nisaab ki miqdaar kisi ke paas poori hojaaye, to us par zakaat farz hojaati hai aur aise shakhs ko “Saahabe Nisaab" kehte hain.
*(1) Sone ka nisaab:* 87gm 480mlg hai.
[Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254]
*(2) Chaandi ka nisaab:* 612gm 360mlg hai.
[Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254]
*(3) Rupiye Paise ka nisaab:* Rupiya paisa; sona ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ki qeemat ke baraabar ho.
[Shaam: 7/81 , Baabu Zakaatil; Maal]
*(4) Maale Tijaarat ka nisaab:* Maale Tijaarat; sona ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ki qeemat ke baraabar ho.
[Shaami: 7/75, Baabu Zakaatil Maal]
*❧ Tambeeh:* Aaj kal chaandi ki qeemat sone ke muqaable mein kai guna kam hone ki wajah se chaandi ka nisaab jald poora hojaata hai, is liye chaandi ke nisaab ki qeemat dekhi jaati hai.
*❧ Zakaat ki miqdaar:* Sona, chaandi, Rupiya Paisa aur Maale Tijaarat ki zakaat mein poore maal ka 40th hissa (2.5%) dena farz hai.
[Shaami: 7/75, Baabu Zakaatil Maal]
*(5) Zameen ki paidaawaar:* Zameen ki paidaawaar jitni miqdaar mein bhi ho us mein 10th hissa (10%) zakaat hai jis ko “Ushr” kaha jaata hai.
*(6) Maweshi:* Maweshi mein se bakri, gaaye, bail, oont wagaira mein zakaat farz hone ke mukhtalif nisaab Shareeat ne muqarrar kiye hain aur un mein zakaat ki miqdaar bhi mukhtalif rakhi hai.
[[..Next - 04, Soon In Sha Allah..]]
*_Join Telegram Channel_*
https://t.me/IslamicMsgofficial
❁✸❁✸❁✸❁
By: via Islamic Msg Official