Namaz Salahtul Tasbeeh - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 17 أبريل 2020

Namaz Salahtul Tasbeeh

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 📿  *Namaz Salahtul Tasbeeh*  📿
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


⇏iske Do tareeqe manqool he'n ,Kisi bhi tareeqe ke mutabiq ye Namaz padhi ja sakti he ,

            ☞  *Pehla Tareeqa* ,

❉  is Namaz ko padhne ka Tareeqa Jo Hazrat Jo Hazrat Abdullah bin Mubarak se Tirmizi Sharif me mazkoor he ye k ,Takbeere Tehrima ke baad Sana Yani " Subhaanaka llahumma " padhe Fir Tasbeeh yani
"
*سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ*
" *Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar* " 15 martaba padhe ,

⇏ ,أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
" A'uzubillahi minash shaytaanir rajeem ," 
   
     ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
    " Bismillahir rahmaanir raheem " Padhe Fir " Alahamdu Sharif aur Soorat padhe ,fir qayaam me hi Ruku me Jane Se pehle hi Tasbeeh 10 martaba padhe ,                                         
⇏Fir Ruku kare aur Ruku ki Tasbeeh ke baad wahi Kalamaa 10 martaba kahe ,fir Ruku se uth kar qoma me " Sami'allah........" Ke baad 10 baar aur dono Sazdo me Sajde Kï Tasbeeh ke baad 10 - 10 baar aur dono Sajdo ke darmiyan bethne Kï haalat me Yani Jalse me 10 baar wahi kalamaate Tasbeeh padhe ,is tarah har Raka'at me 75 martaba aur 4 Raka'at me 300 martaba ye kalamaat Tasbeeh ho jayegi ,

 ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴

📚 Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,



        ☞  *Doosra Tareeqa* ,

❉ Doosra Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se manqool he ,Wo ye he k "
_*Step 1-*_ Niyat Bandhkar Sana Padhe Phir Aauzu Bismillah Phir Alhamdo aur Koi Surah padhe
_*Step 2-*_ Surah Ke Bad 15 Martaba Wo Kalimat padhe
_*Step 3-*_ Ruku Me Ruku Ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar Wo Kalimat Padhe
_*Step 4-*_ Ruku Se Uthne Ke Bad Khade Ho Kr Jalse Me 10 Bar Wo kalimat Padhe
_*Step 5-*_ Sajde Me Sajde ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar wo kalimat Padhe
_*Step 6-*_ Sajde Se Uth Kr Kooma Me 10 Bar wo kalimat  Padhe
_*Step 7-*_ Dusre Sajde Me Bhi Sajde ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar Wo kalimat Padhe
_*Step 8-*_ Sajde Se Uth Kr Kooma Me Dursi Rakat Ke Liye Khade Hone Se Pehle 10 Bar wo kalimat Padhe

Padhne Ki Kalimaat 👇
*سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ*
" *Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar* "

 is tarah har Raka'at me 75 martaba padhe aur dono qa'ado me " Attahiyaat " se pehle padh le ,

❉ Salatut Tasbeeh me koi bhi soorat padhi ja sakti he ,Albatta alal tarteeb " Takasur ,Asr , Kafiroon aur ikhlaas " aur kabhi " izazul ,aadiyaat ,izaajaa aur ikhlaas " ka padhna behtar he ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
📚 Abu Dawood, Baab Salahtul Tasbeeh- 1297

📚 Muntakahab Hadees, Namaz-183
°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°
    ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot