*ZAKAT AUR SADQAH E FITR ME FARQ*
AAJ KA SAWAL NO.2107
Kya yeh baat sahih hai ke jis par zakat wajib nahin us par sadqatul fitr bhi wajib nahin?
JAWAB
حامد و مصلیا و مسلما
Yeh baat sahih nahin. Ba'az log galati se yeh samajhte hain ke jis per Zakaat Farz nahin us per Sadqah e fitr bhi waajib nahi, halaan ke zakat aur sadqah e fitr ke wujoob me teen (3) farq hain. jis se ma'alum hota hai ke bahot se aise log bhi hain jin par zakat wajib nahin lekin Sadqah fitr wajib hai.
1. Bahut se logo per zakaat wajib nahin hoti magar sadqah e fitr waajib hota hai kyun ke sadqah e fitr ke nisab par saal pura hona zaruri nahin balke eid ki raat ko nisab jitne maal ka malik ho gaya to bhi sadqah e fitr wajib hai.
2. Zakat ke wajib hone ke liye maal ka tijarat-bechne ki niyyat se khareeda huwa hona zaruri hai, zarurat se zaid (ziyadah) aisa maal jo tijarati nahin uspar zakat wajib nahin, Albattah sadqah e fitr wajib hai sadqah e fitr ke wajib hone me zarurat se zaid tamam maal ko shumar karenge agarche woh maal bechne ki niyyat se na khareeda gaya ho.
3. Na-balig par zakat farz nahin lekin sadqah e fitr wajib hai, vaali ko chahiye us ke maal se ada kare agar apne maal me se bhi ada kare to ada ho jayega
Sahibe nisab baap ya wali-zimmedar par apni tamam na balig awlad ka sadqah e fitr wajib hai
MASAILE ZAKAT
و اللہ اعلم
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
*_Join Telegram Channel_*
https://t.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Thursday, May 21, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot