*TANKHA AUR BUNOS ME ZAKAT DENA*
AAJ KA SAWAL NO.2094
Kal ke sawal jawab se maloom ho gaya ke in haalat me mulazim tankha ke shar'an mustahiq nahi hote lekin ham unhe tankha ki jaga zakat de sakte hai ya nahi aur har saal eid par bonas dete hai woh dena zaroori hai us me bhi zakat de to chale ya nahi?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Zakat ke liye shart hai ke bila aewaz dee jaye lihaza tankha ke badle zakat dena jaiz nahi albattah un ko bata diya jaye ke tankha dena mere zimme shar'n laazim nahi lekin me bataure imdad aap ko ye raqam deta hun aur us me zakat ki niyyat kar li jaye to jaiz hai basharte ke mulazim zakat ka mustahiq ho.
Aur bonas dena bhi zaroori nahi hai ye seth Aur malik ki marzi aur khushi par mavqoof hai.
Han bonas kehkar zakat ke mustahiq mulazim ko zakat dena jaiz hai.
KITABUL MASAIL 2/181 SE MAKHOOZ BA HAWALA DURRE MUKHTAR 3/307
AALAMGIRI 1/190
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :
RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 10 مايو 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot