⚈◢
✰══❖═══✰══❖═══
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
✰═══❖══✰═══❖══✰
*SHAB – E – QADAR*
*QIST - 06*
❖══✰═══❖
*◐☞Shabe Qadr Ko Wasool Karne Ka Sabse Yaqeeni Zariya ◐*
❖_ Shabe Qadr ki ibaadat ka sawab haasil karne ki tamanna har musalman ke Dil mai rehni chahiye aur Koshish karni chahiye k Shabe Qadr ka koi lamha bhi ibaadat se gaflat mai na guzre , isliye Allah Ta’ala ne hume “Aitikaaf ” ki ibaadat ataa farmayi hai k Jo Aadmi Ramzanul Mubarak ke Aakhri Ashre mai Aitikaaf ki sa’adat haasil kare WO Yaqeeni tor per Shabe Qadr se Mehroon nahi rahega ,
❖_Shabe Qadr ko haasil karne ke liye Aitikaaf se zyada Yaqeeni zariya koi nahi hai ,Agar Aap Motaqif nahi hai’n to kitni hi koshish kar le poori Raat ka Mukammal tor per ibaadat mai guzaarna nihayat mushkil kaam hai , Lekin Motaqif Shakhs Apne Aitikaaf ki bina per agar Sota bhi rahega to WO indallaah ibaadat guzaaro mai shumaar hoga aur uski Raat ka koi bhi lamha zaaya na hoga , isliye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ke husool ke liye Aitikaaf ka ahatmam farmate they ,
❖_Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ramzan ke pehle Ashre ka Aitikaaf farmaya fir darmiyani Aahre mai Aap ek Turki Khaima mai ( masjid ke andar ) Motaqif rahe ,Jiski Chhat per Chataai daali gayi thi , Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne apne daste Mubarak se chataai hata kar ek taraf farmayi aur logo se khitaab karna shuru kiya ,log qareeb ho gaye to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,
“_ Maine Shabe Qadr ki talash mai Pehle Ashre aa Aitikaaf kiya fir doosre Ashre ka Aitikaaf kiya ,fir mujhe bataya gaya k WO Mubarak Raat Aakhri Ashre mai hai ,Lihaza Jo Tumme se Aitikaaf karna chahe WO Aitikaaf kare ,”
Pas logo ne Aapke saath Aitikaaf kiya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,mujhe WO Shab is haal mai dikhayi gayi hai k uski Subeh ko mai Paani aur mitti mai sajda kar raha hu’n ,Chunache 21 tareekh ki Subeh ki namaz mai barish hui ,masjid ( kachchi thi ) jal thal ho gayi ,To jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Namaz se faarig hue to Aapki peshani Mubarak aur naak mitti aur Paani se alood thi ye ikkisvi shab ka qissa hai ,
*( Muslim Sharif -1/370 Bukhari Sharif -1/271)*
isliye Jo hazraat Shabe Qadr ko Haasil karna chahte hai’n Unhe Aitikaaf ka ahatmam zaroor karna chahiye , Allah Ta’ala hum sabko is Mubarak Raat ki ibaadat ki Tofeeq ataa kare ,(Aameen )
*Is Haqeer Gunahgaar Bande ko bhi Apni Khaas Duao’n mai Yaad Rakhiye,* ◐*
❖_ *Alhamdulillaah__Mukammal Hue,*
*❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*शबे- कद्र *
❖══✰═══❖
*◐☞शबे कद्र को वसूल करने का यकीनी जरिया ◐*
❖_ शबे कद्र की इबादत का सवाब हासिल करने की तमन्ना हर मुसलमान के दिल में रहनी चाहिए और कोशिश करनी चाहिए शबे कद्र का कोई लम्हा भी इबादत से गफलत में ना गुज़रे, इसलिए अल्लाह ताला ने हमें एतिकाफ की इबादत अता फरमाई है कि जो आदमी रमजान उल मुबारक के आखिरी अशरे में एतिकाफ की सआदत हासिल करें वह यकीनी तौर पर शबे कद्र से महरूम नहीं रहेगा।
★_ शबे कद्र को हासिल करने के लिए एतिकाफ से ज्यादा यकीनी जरिया कोई नहीं ,अगर आप मौतकिफ नहीं है तो कितनी ही कोशिश कर लें पूरी रात का मुकम्मल तौर पर इबादत में गुजारना निहायत मुश्किल काम है, लेकिन मौतकिफ शख्स अपने एतिकाफ की बिना पर अगर सोता भी रहेगा तो वह इंदल्लाह इबादत गुजारों में शुमार होगा और उसकी रात का कोई भी लम्हा जाया नहीं होगा । इसलिए नबी करीम सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम शबे कद्र के हुसूल के लिए एतिकाफ का अहतमाम फरमाते थे ।
★_हजरत अबू सईद खुदरी रजियल्लाहु अन्हु फरमाते हैं कि नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने रमजान के पहले अशरे का एतिकाफ फरमाया फिर दरमियानी अशरे में आप एक तुर्की खेमे में ( मस्जिद के अंदर) मौतकिफ रहे, जिसकी छत पर चटाई डाली गई थी । चुनांचे आप सल्लल्लाहो सल्लम ने अपने दस्ते मुबारक से चटाई हटा कर एक तरफ फरमाई और लोगों से खिताब करना शुरू किया, लोग करीब हो गए तो आप सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम ने फरमाया :- मैंने शबे कद्र की तलाश में पहले अशरे का एतिकाफ कि
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Wednesday, May 20, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot