𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, May 20, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post



▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
*✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
┏──────────────┯
│ *QURAN KI FAZILAT*
┗───┯ *AUR USKI BARKAT*

*℘osт ղo☞11*

* Dilo Ke Kaat Ki Safai Quran Ki Tilavat Se*

Gunaaho Ki Jyaadati Aur Allah Ki Yaad Ki Gaflat Ki Vajah Se Dilo Par Bhi Kaat (zang) Lag Jata He, Jaise Ki Lohe Ko Pani Lagne Ki Vajah Se Kaat Lag Jata He, Aur Quran Pak Ki Tilavat Aur Maut Ki Yaad Uske Liye Safai Ka Kaam Deti He, Iski Misal Hadees Me He Ki Banda Jab Koi Gunaah Karta He To Ek Kala Nukta Uske Dil Me Par Jata He, Agar Vo Sachchi Tauba Kar Leta He, To Vo Nukta Khatam Ho Jata He, Aur Agar Vo Doosra Gunaah Karta He, To Doosra Nukta Lag Jata He, Isi Tarah Agar Gunaaho Me Padhta Rahta He To Hote-hote In Nukato Ki Jyadti Ki Vajah Se Dil Bilkul Kala Ho Jata He, Fir Iske Dil Me Khair Ki Taraf Ragbat Aur Khvahish Baki Nahi Rehti He, Balki Burai Ki Taraf Hi Jata He, Usi Ki Taraf Surah Mutaffifin Ki Ayat Me Isara He, Beshak Unke Dilo Par Kaat Jama Diya Unke Bure Amal Ne.

Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Me Tumme Do Vaij Chodta Hu, Ek Bolne Vala Aur Doosra Khamosh, Bolne Vala Quran Pak He Aur Khamosh Maut Ki Yaad,huzur ﷺ Ka Irshad Dilo Jan Se Kubul He, Magar Vaij To Uske Liye Ho Jo Nasihat Ko Kubul Kare, Jo Nasihat Ki Jarurat Samjhe, Lekin Jo Shakhs Deen Ko Bilkul Bekar Hi Samze, Balki Isse Aaghe Badhkar Tarakki Ki Rah Me Rukavat Samjhe, Vaha Nasihat Ki Jarurat Kise, Aur Nasihat Kya Fayda Degi?

Hasan Basri ؒ Kehte He Pahale Log Quran Sharif Ko Allah Ka Farman Samjhte The, Raat Bhar Usme Gaur O Fikr Karte The Aur Din Ko Uspar Amal Karte The, Aur Tum Log Iske Jabar Jer Ko To Bahut Durust Karte Ho, Magar Iska Shahi Farman Nahi Samjhte Isme Gaur O Fikr Nahi Karte.

* Baihki Shuabul Imaan, Hazrat Abdullah Ibne Umar ؓ , Hadees Ka Khulasa.*

*.......TO BE CONTINUE,,,*

*( ℘osт⇨12)___Nεxт  тimε  insнα  Allααн.*

*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot