𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 13 مايو 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○

*✷PART-04✷*
✯—————————————✯

*✺ Aitkaaf Ki Fazilat-2✺*

★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

” Aitkaaf karne wala gunaho se mehfooz rehta he aur uski tamaam nekiya’n usi tarah likhi jaati rehti he’n jese wo unko khud kiya karta tha, ”

* Sunan ibne maaja, 128,*

★is hadees me Aitkaaf ke fawaid me se do bayaan kiye gaye he’n,

⇨1, Moatkif jitne din Aitkaaf karega utne din gunaho se bacha rahega,

⇨2, Jo nekiya’n wo bahar karta tha ( Masjid se bahar ) maslan mareej ki ayadat, Janaze me shirkat, gurba ki imdaad, Ulma ki majalis me haajri vagera Aitkaaf ki haalat me agarche in kaamo ko nahi kar sakta lekin is qism ke Amaal ka sawaab uske naama amaal me likha jata he,

★Ek hadees me he,” Jisne Allah ta’ala ki raza ke liye imaan v ikhlaas ke saath Aitkaaf kiya to uske pichhle gunaah maaf ho jayenge, ”

* Kanjul Ummal, 8/244,*
✯—————————————✯*

*✺ एतिकाफ के फजाइल-२✺*

★_ हजरत इब्ने अब्बास रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने फरमाया :- एतिकाफ करने वाला गुनाहों से महफूज़ रहता है और उसकी तमाम नेकियां उसी तरह लिखी जाती रहती हैं जैसे वह उनको खुद किया करता था ।
*( सुनन इब्ने माजा-128)*

★_इस हदीस में एतिकाफ के फवाइद में से दो बयान किए गए हैं :-
१_मौतकीफ जितने दिन एतिकाफ करेगा इतने दिन गुनाहों से बचा रहेगा ।
२_जो नेकियां वह बाहर करता था (मस्जिद से बाहर) मसलन- मरीज़ की अयादत, जनाजे में शिरकत ,गुरबा की इमदाद, उलमा की मजालिस में हाजरी, वगैरा एतिकाफ की हालत में अगरचे इन कामों को नहीं कर सकता लेकिन इस क़िस्म के आमाल का सवाब उसके नामा आमाल में लिखा जाता है।

★_ एक हदीस में है :- "_ जिसने अल्लाह ताअला की रज़ा के लिए ईमान व इखलास के साथ एतिकाफ किया तो उसके पिछले गुनाह माफ हो जाएंगे ।
*( कंजुल उम्माल - 8 /244)*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✷PART-05✷*
✯—————————————✯

*✺ Aitkaaf Ka Maqsad✺*

★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri ashre me Aitkaaf farmaya karte the aur farmaya karte the k, -” Laylatul Qadr ko Ramzan ki aakhri Raato me talaash kiya Karo, ”

* Sahih Bukhari, 1/270*

*⇨ Faayda: –* Aitkaaf se maqsood Laylatul Qadr ko pana he, Jiski fazilat hazaar mahino se zyada he, Behtar to yahi he k aakhri ashre ki saari Raato me Bedari ka ahatmam karna chahiye, varna kam se kam Taaq Raato me ko to zarur ibaadat me guzaarna chahiye,

✯—————————————✯

*✺ एतिकाफ का मकसद✺*

★_ हजरत आयशा रजियल्लाहु अन्हा फरमाती है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम रमजान के आखिरी अशरे में एतिकाफ फरमाया करते थे और फ़रमाया करते थे कि लैलतुल कद्र को रमजान की आखिरी रातों में तलाश किया करो ।
*"_सही बुखारी -1/ 270 ,*

*★_फायदा:-* - इतिकाफ से मक़सूद लैलतुल कद्र को पाना है जिस की फजीलत हजा़र महीनों से ज्यादा है । बेहतर तो यही है कि आखिरी अशरे की सारी रातों में बेदारी का एहतमाम करना चाहिए वरना कम से कम ताक़ रातों में को तो जरूर इबादत में गुजारना चाहिए।
,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○

*✷PART-06✷*
✯—————————————✯

*✺ Aitkaaf Ki Aqsaam✺*

★ Aitkaaf ki 3 qisme he’n, Waajib, Sunnat, Nifl,

*⇨ Waajib Aitkaaf: –* Waajib Aitkaaf wo he Jo mannat maanne se waajib ho gaya ya kisi masnoon Aitkaaf ke tod dene se uski qaza waajib ho gayi,

*⇨ Masail: –*

★ 1- Jis Aitkaaf ki zabaan se mannat maan li ho wo mannat ki shart per mokoof ho ya na ho dono soorato me Aitkaaf waajib ho jata he,

★2- Sirf Dil me niyat kar lene se mannat nahi hoti balki zabaan se alfaaz ka Ada karna zaruri he,

★3- Mannat wale Aitkaaf me Roza rakhna zaruri he chahe ye Roza Ramzan ka ho ya iske alawa kisi aur machine ka, Aur Aitkaaf bhi Ramzan me ho ya iske alawa kisi aur mahine me,

★4- Ek din ka Aitkaaf karne ki mannat maani ho to sirf Din ka Aitkaaf waajib hoga, agar 24 ghante ki niyat saath ki ho tab 24 ghante hi ka Aitkaaf waajib hoga,

★ 5- Agar kisi ne mannat maante waqt ye kaha k me Raat ka Aitkaaf karunga aur Dil me niyat Din ki bhi thi to ye mannat sahi nahi, is per Aitkaaf waajib nahi hoga kyuki Raat me Roza nahi hota,

★6- Agar ek se zyada Dino ke Aitkaaf ki niyat maani ho to itne D
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot