*SANTH MISKIN NA HO TO EK FAQEER KO KAM ZAYADA DENE KA HUKM*
AAJ KA SAWAL NO.2116
(A) Agar santh faqeer na mile to kaffarh ada karne ki asan shakal kiya hai?
(B) Ek faqeer ek din me zayadah din ka ya 60 din ka kaffarh de to jaiz hai?
(C) 1 faqeer ko pone do kilo se kam anaj ya pone do kilo ki qeemat se kam diya aur baqee dusre faqeer ko diya to kaffarah ada hoga?
JAWAB
(A) Agar 60 faqeer na mile to Ek hee faqeer ko ya balig (gareeb) talibe ilm ko bitha kar 60 din tak bhar pet dono waqt khana khilaya jaye ya 60 din tak us gareeb ko pone do kilo gehun ya us ki qeemat dee jaye.
(B) Ek faqeer ko ek din me pone do kilo se zayadah gehun ya 60 din ke gehun ek sath dina Ya; ek din se zayadah ya 60 din ke kaffarah ki qeemat dena jaiz nahi agar ek din ke kaffarah se zayada anaj ya zayadah qeemat dee to bhi ek hee din ka kaffarah Ada hoga.
Baqee din ka dobarah Ada kare
(C) Kisi faqeer ko kaffarh pone do kilo se kam diya Ya us ki qeemat Se kam dee to kaffarah ada na hoga ek faqeer sadqah e fitr ki miqdar ka pura anaj ya puri qeemat dena zarooree hai.
masaile roza safa 94 bahawala
fatawa darul uloom 6/451
Shami 2/163
bahishti zewar 3/16
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, May 30, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot