⚈◢
✰══❖═══✰══❖═══
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐖𝐡𝐚𝐭𝐬𝐚𝐩𝐩 𝐆𝐫𝐨𝐮𝐩_*
https://chat.whatsapp.com/D1sNmtY5vyPEjRNVERN4FG
✰═══❖══✰═══❖══✰
*SHAB – E – QADAR*
*QIST - 04*
❖══✰═══❖
*◐☞ Shabe Qadr Ko Makhfi Kyu Rakha gaya ? ◐*
❖_ itni aham aur Ba Barkat Raat ke makhfi hone ki bahut si hikmate bayan ki gayi hai’n unme se chand ye hai’n :-
❖_ 1- Digar Aham makhfi umoor maslan isme Aazam ,Jume ke Roz Qubuliyate Dua ki ghadi ki tarah Raat ko bhi makhfi rakha gaya ,
❖_2- agar ise makhfi na rakha jata to sirf isi Raat ke amal per iktfa kar liya jata , Zoqe ibaadat ki khatir isko zaahir nahi kiya gaya ,
❖_3- Agar kisi majboori ki vajah se kisi Shakhs ki WO Raat reh jati to shayad is sadme izala mumkin na hota ,
❖_ 4- Allah Ta’ala ko chunki Bando ka Raat ke Awqaat mai jaagna aur bedaar rehna mehboob hai ,isliye Raat ki taa’iyn na farmayi taki iski talash mai mutaddid raate ibaadat mai guzaare ,
❖_ 5- is Raat ke Makhfi rakhne ki ek vajah gunahgaaro per Shafqat bhi hai Kyunki agar ilm ke bavjood is Raat mai gunaah sarzad hota to isse Laylatul Qadr ki azamat majrooh karne ka jurm bhi likha jata , ◐*
*◐☞Ek Jhagda Shabe Qadr ke ikhfa ka Sabab bana◐*
❖_ Ek nihayat aham vajah iske makhfi kar dene ki ek jhagda bhi hai ,Hazrat Ubaada bin Saamit Raziyallahu Anhu se marvi hai k ,
“_ Ek martaba Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ki taa’iyn ke bare mai agaah farmane ke liye ghar se Bahar tashreef laye lekin Raaste mai do Aadmi Aapas mai jhagad rahe they,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- mai’n tumhe Shabe Qadr ke bare mai ittela dene aaya tha magar fala’n ki ladaai ki vajah se iski taa’iyn utha li gayi ,
❖_is Rivayat ne ye bhi Waaze kar diya k ladaai jhagde ki vajah se insaan Allah Ta’ala ki bahut si ni’amato se Mehroon ho jata hai, Yahi vajah hai k Aaj Ummat barkato aur sa’adato se Mehroon hoti ja rahi hai ,
*(Bukhari -1/172)*
*❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*शबे- कद्र *
❖══✰═══❖
*◐☞ शबे कद्र को मखफी क्यों रखा गया ◐*
❖_ इतनी अहम और बा बरकत रात के मख्फी होने की बहुत सी हिकमते बयान की गई है इनमें से चंद यह है :-
१_दिगर अहम मक्खी उमूर मसलन इस्मे -आजम, जुमे के रोज़ कुबूलियते दुआ की घड़ी की तरह इस रात को भी मख्फी रखा गया ।
२_अगर इसे मख्फी ना रखा जाता तो सिर्फ इसी रात के अमल पर इक्तफा कर लिया जाता जौके़ इबादत की खातिर इसको जाहिर नहीं किया गया ।
३_अगर किसी मजबूरी की वजह से किसी शख्स की वो रात रह जाती तो शायद इस सदमे का इजाला मुमकिन ना होता ।
४_अल्लाह ताला को चूंकी बंदों का रात के औकात में जागना और बेदार रहना महबूब है इसलिए रात की ताइन ना फरमाई ताकि इसकी तलाश में मुताद्दिद रातें इबादत में गुजारे ।
५_इस रात के मख्फी रखने की एक वजह गुनहगारों पर शफक़त है क्योंकि अगर इल्म के बावजूद इस रात में गुनाह सरजद होते तो इससे लैलतुल कद्र की अजमत मजरूह करने का जुर्म भी लिखा जाता ।
*◐☞ एक झगड़ा शबे कदर के इफका़ का सबब बना ◐*
❖_एक निहायत अहम वजह इसके मक्खी कर देने की एक झगड़ा भी है, हजरत उबादा बिन सामित रजियल्लाहु अन्हु से मर्वी है कि :- एक मर्तबा जनाबे रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम शबे कद्र की ताइन के बारे में आगाह फरमाने के लिए घर से बाहर तशरीफ़ लाए लेकिन रास्ते में दो आदमी आपस में झगड़ रहे थे, हुजूर सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम ने फरमाया :- मैं तुम्हें शबे कदर के बारे में इत्तेला देने आया था मगर फलां की लड़ाई की वजह से इसकी ताइन उठा ली गई।
★_ इस रिवायत ने यह भी वाज़े कर दिया की लड़ाई झगड़े की वजह से इंसान अल्लाह ताला की बहुत सी नियामतों से महरूम हो जाता है । यही वजह है कि आज उम्मत बरकतों और सआदतों से महरूम होती जा रही है । *(बुखारी 1/ 172)*
* शबे कद्र और उसकी फजीलत_,*
. ═══─┉●┉─═══
║ *Talibe Dua_*
║ *𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥* http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
╚═════════════┅┄ ✭✭
*ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd ,*
╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
⚀
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Monday, May 18, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot