𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Monday, May 18, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚈◢
✰══❖═══✰══❖═══
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial

*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐖𝐡𝐚𝐭𝐬𝐚𝐩𝐩 𝐆𝐫𝐨𝐮𝐩_*
https://chat.whatsapp.com/D1sNmtY5vyPEjRNVERN4FG
✰═══❖══✰═══❖══✰
*SHAB – E – QADAR*
*QIST - 03*
❖══✰═══❖
*◐☞Laylatul Qadr is Ummat ki Khususiyat ◐* ◐*
❖_ Laylatul Qadr sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ki khususiyat hai , Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
“_ Ye muqaddas Raat faqat meri Ummat ko ataa farmayi hai Saabqa Ummato mai se ye Sharf kisi ko bhi nahi mila ,”
*(Durre Mansoor- 6:371)*
❖_Mufassireen Kiraam likhte hai’n k Pehli Ummato mai Aabid use Qaraar diya jata tha Jo Hazaar Mahino tak ibaadat karta ,Lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sadqe mai is Ummat ko ye Fazilat haasil hui WO ek Raat ki ibaadat se isse behtar muqaam haasil kar leti hai ,Allah Ta’ala ne is Ummat ke afraad ko ye Shabe Qadr ataa kar di Jiski ibaadat is hazaar Maah se behtar qaraar di gayi _”
*( Fatahul Qadeer -5:472)*
❖_ Goya k ye Azeem niyamat bhi Sarkare Do Jahaa’n Sallallahu Alaihivasallam ki gulami ke Sadqe mai is Ummat ko naseeb hui hai , ,

*◐☞ Fazilate Shabe Qadr ◐*
❖_Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
“__Jis Shakhs ne Shabe Qadr mai Ajro Sawab Ki Ummeed se ibaadat ki uske Pichhle gunaah maaf kar diye Jate Hai’n ,”
*(Sahih Bukhari-1/270)*
❖_Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi hai k Ramzanul Mubarak ki aamad per ek martaba Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
“__ Ye Jo Maah tum per aa raha hai usme ek esi Raat hai Jo hazaar Maah se afzal hai ,Jo Shakhs is Raat se Mehroon reh gaya Goya WO saare khair se Mehroon raha aur is Raat ki bhalaai se wahi Shakhs Mehroon reh sakta hai Jo waqatan Mehroon ho _,”
*(Sunan ibne maaja:20)*
❖_Ese Shakhs ki mehroomi mai waqaatan kya shak ho sakta hai Jo itni badi ni’amat ko gaflat ki vajah se gawa de , Jab insaan mamooli mamooli Baato ke liye kitni Raate jaag kar guzaar leta hai to Assi Saal ki ibaadat se Afzal ibaadat ke liye chand raate kyu na jaage ?Jis Raat mai Jibreele Ameen farishto ke saath utarte ho aur ibaadat karne walo ke liye Duae magfirat karte ho , ◐*

*❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*शबे- कद्र *
❖══✰═══❖
*◐☞लैलतुल कद्र इस उम्मत की खुसुसियत ◐*
❖_ लैलतुल कद्र सिर्फ आप सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम की उम्मत की खुसूसियत है ।हजरत अनस रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने फरमाया :- यह मुकद्दस रात फक़त मेरी उम्मत को अता फरमाई है साबका़ उम्मतों में यह शर्फ किसी को भी नहीं मिला । *(दुर्रे मंसूर 6 /371 )*
★_मुफस्सिरीन किराम लिखते हैं की पहली उम्मतो में आबिद उसे क़रार दिया जाता था जो हज़ार महीनों तक इबादत करता लेकिन नबी करीम सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम के सदके में इस उम्मत को यह फजी़लत हासिल हुई । वह एक रात की इबादत से इससे बेहतर मुकाम हासिल कर लेती है। अल्लाह ताला ने इस उम्मत के अफराद को यह शबे कदर अता कर दी जिसकी इबादत इस हजार माह से बेहतर क़रार दी गई। *( फताहुल क़दीर -5 /472)*
★_ गोयाकि यह अज़ीम नियामत भी सरकारे दो जहां सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम की गुलामी के सदके में इस उम्मत को नसीब हुई है।

*◐☞ फजीलते शबे कद्र ◐*
❖_ हजरत बू हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु से मर्वी है कि जनाब ए रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने फरमाया :- जिस शख्स ने शबे कादर में अजरो सवाब की उम्मीद से इबादत की उसके पिछले गुनाह माफ कर दिए जाते हैं । *(सही बुखारी -1/ 270)*
★_हजरत अनस रजियल्लाहु अन्हु से मर्वी है कि :- रमजान उल मुबारक की आमद पर एक मर्तबा रसूलुल्लाह सल्लल्लाहो अलेही वसल्लम ने फरमाया:- यह जो माह तुम पर आ रहा है इसमें एक ऐसी रात है जो हजार माह से अफजल है जो शख्स इस रात से महरूम रह गया गोया वह सारे खैर से महरूम रहा और इस रात की भलाई से वही शख्स महरुम रह सकता है जो वक़ातन महरुम हो। *( सुनन इब्ने माजा-20)*
★_ऐसे शख्स की महरूमी मे वक़ातन क्या शक हो सकता है जो इतनी बड़ी नियामत को गफलत की वजह से गवा दे ,जब इंसान मामूली मामूली बातों
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot