𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Sunday, May 24, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

▓━﷽━▓
┏───────────────────┯ ✿
│ *●◑ ADAAB E ISHQE RASOOL●◑*
_ﷺ_
┗───┯ ✿ *posт ղo☞04*

*▓━ Na-Farmani Ke Saath Ishqe Rasool_ﷺ_Ka Daava Baatil Hai*

▓━━━✿━━━ ▓

✪_Bukhari Sharif mai Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai’n k _Ey logo ! Daadhiyo ko badhaao aur Moonchho ko kataao , aur Tamaam Zindagi Mubarak Aapne Ek Musht Daadhi rakhi ,Doosre Nabiyo’n ne rakhi ,Tamaam Sahaba Kiraam ne rakhi , itteba e ishqe Rasool Sallallahu Alaihivasallam yaha’n dikhaao ,

✪__Aap Sallallahu Alaihivasallam ke farmaan e Alishaan kw parakhche udate ho , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Na-Farmani karte ho aur Muhabbat aur Aaahiqi Ka daava karte ho ,

*▓━ Gharo mai Tasveer Lagane Ki Hurmat _,*

✪_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Tasveero ko gharo mai mat rakho , Jaha’n Tasveere hoti hai’n , Waha’n Rahmat ke Farishte nahi aate , Aaj ummat ke Ghar Ghar mai Tasveere lagi hai’n , Lekin Daava e ishqe mai Sabse aage hai’n aur Na-Farmani Ke Saath ye konsi Aaahiqi hai ? Kya Muhabbat Ka yahi Haq Hai ?

✪_Aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Kya Shaan thi k ek Shakhs ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Dawat ki ,Aap Dawat ke liye tashreef le gaye, Jab Unke Ghar pahunche to dekha k Ghar mai Tasveer thi , Farmaya k Umar ese Ghar mai nahi khayega Jisme Na-Farmani e Rasool ho rahi ho , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Farmaan e Alishaan ki khilaf varzi ki ja rahi ho , Hum ese khaane se Baaz aaye ,Ye Muhabbat Hai , iska Naam ishq Hai ,

✪_Aaj ummat ko dekh Kar Dil kudhta Hai ,Wazife khoob padh rahe hai’n Lekin gunaho se bachne Ka ahatmaam nahi Hai , Ek Marne wale per Surah Yaseen ke Kai khatm Hui Magar uski Rooh nahi nikal rahi , Doctor Abdul Ha’yi Sahab Reh. ne khud Mujhse farmaya k wo log mujhe le gaye they,Teen Din ho gaye Magar Rooh nahi nikal rahi Hai Halanki Hazaar dafa Yaseen Sharif padhi ja chuki Hai,

✪_ Maine dekha k Waha ( Ghar mai) Liyaqat Ali Khan ki Tasveer lagi Hui thi ,Maine kaha k Tasveer rakhte hue Yaseen Sharif Ka Amal kar rahe ho , Na-Farmani e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki nahusat se Rahmat ke Farishte Ghar mai kese aayenge , Lihaza abhi Tasveer nikalo , Chunache jese hi Tasveer hatayi gayi foran Rooh nikal gayi ,
*”__Ishqe Rasool Naam Hai itteba e Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ka ,Sunnat per Jaan de do ,Chahe Duniya kuchh bhi kehti rahe aur Aapka kitna hi Mazaaq udaati rahe _,*

* Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Reh._,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*◐ आदाबे इश्क़ ए रसूल ﷺ◐*

*▓━नाफरमानी के साथ इश्के रसूल का दावा बातिल है*
❖══✰═══❖

❖_बुखारी शरीफ में सरवरे दो आलम सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम इर्शाद फरमाते हैं की ऐ लोगों! दाढ़ियों को बढ़ाओ और मूछों को कटाओ, और तमाम ज़िंदगी मुबारक आपने एक मुश्त दाढ़ी रखी,दूसरे नबियों ने रखी,तमाम सहाबा किराम ने रखी,इत्तेबाए रसूल यहां दिखाओ,

❖_आप सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम के फरमान आलीशान के परखच्चे उड़ाते हो,रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलैहि की नाफरमानी करते हो और मोहब्बत और आशिक़ी का दावा करते हो,

*▓घरों में तस्वीर लगाने की हुरमत*

❖_आप सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया तस्वीरों को घरों में मत रखो,जहां तस्वीरें होती है ,वहां रहमत के फरिश्ते नही आते,आज उम्मत के घर घर मे तस्वीरें लगी हैं ,लेकिन दावाए इश्क में सबसे आगे हैं और नाफरमानी के साथ ये कौनसी आशिक़ी है?क्या मोहब्बत का यही हक़ है?

❖_और सहाबा किराम रज़ियल्लाहु अन्हुम की क्या शान थी कि एक शख्स ने हज़रत उम्र रज़ियल्लाहु अन्हु की दावत की,आप दावत के लिए तशरीफ़ ले गए,जब उनके घर पहुंचे तो देखा कि घर मे तस्वीर थी,फरमाया की उम्र ऐसे घर मे नही खाएगा,जिसमे नाफरमानी ए रसूल हो रही हो,हुज़ूर सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम के फ़रमाने आलीशान की खिलाफ वरजी की जा रही हो,हम ऐसे खाने से बाज़ आए,ये मुहब्बत है,इसका नाम इश्क़ है,

❖_आज उम्मत को देख के दिल कुढ़ता है,वज़ीफ़े खूब पढ़ रहे हैं लेकिन गुनाहों से बचने का एहतेमाम नही है,एक मरने वाले पर सूरह यासीन के कई खत्म हुई मगर उसकी रूह नही निकल रही,
डॉक्टर अब्दुल हई सहाब रह. ने खुद मुझसे फरमाया की वो लोग मुझे ले गए थे,तीन दिन हो गए मगर रूह नही निकल रही है हालांकि हज़ार दफा सूरह यासीन पढ़ी जा चुकी है,

❖_मैंने देखा कि यहां (घर मे)लियाक़त अली खान की तस्वीर लगी हुई थी,मैंने कहा कि तस्वीर रखते हुए यासी
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot