*LOCK DOWN KE ZAMANE ME TANKHAH KA HUKM*
AAJ KA SAWAL NO.2093
har shakhs jaanta hai ki lock down ka zamana chal Raha hai sare karobar companiyan,factoryan, karkhane ,dukane band hai iski wajah se log zabardast aitibaar se Maal ki Kami ka Samna kar rahe hain.
aise mein sab se Bura haal un logon ka hai jo dukaano karkhano aur factory Main mahana tankhwah per mulazamat karte hain.
Lockdown ki wajah se saare ke saare karobar thap pade Hain aur nokar bhi nokti ki jagaho per nahin ja pa rahe hain aur bahut se log karkhano aur factory hi mein rahte Hain Magar band ki wajah se wo bhi Kam nahin kar pa rahe hain.
Aise mein yah mulazimeen- nokar tankhwah ke haqdar honge ya nahin?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلم
ijare-mazdoori mein cheezon ke Manafe ke badle ya amal ke Manafe ke badle Maali iwaz-badla muqarrar Kiya jata hai.
Puchhi hui surat mein jis ijare ki baat ki ja rahi hai wo Amal ke Manafe ke badle Maal ka badla hai,aur is tarah ke Mulazimeen ko sharee istilah-khaas zuban mein ajeer e khas
kaha jata hai yani ye mulazim aamtaur per ek hi Seth ke yahan kaam karte hain.
Surat e masuoola mein ek baat bilkul saaf hai ki mulazim band raste aur sawariya na hone ki wajah se kam per nahin ja pa rahe hain ya karkhana aur dukaan vagaira band hone ki vajah se Kam nahin kar pa rahe hain dono hi surato mein Apne Amal ka faaida De Nahi Pas rahe hain yani jis Amal aur kaam ki bunyaad per unhe tankhwah milti thi wo Amal aur kaam hi nahin hai lihaza wo sharee aetibar se tankhwah ke mustahiq Nahi honge.
Ye juziya kutub e fiqh me Saaf saaf milta hai ki koi mulazim (ajeer e khaas)baarish ki vajah se yah bimari ki vajah se kaam per nahin ja paye to wo ujrat-pagaar ka mustahiq Na hoga (is se bhi zyaada sareeh juziya mojood he) Albatta agar dukaan ya karkhane per Mulazim aa gaya hai aur us din Seth ne grahak na hone ki wajah se kaam hi na liya ho to wo mulazim ujrat-pagar ka mustahiq hoga.
Puchhi hui surat mein hukoomat ki taraf se karkhane aur dukaane vagaira band karwai gai hai ki jiski vajah se Mulazim-nokar Kam nahin kar pa raha hai lihaza wo ujrat-pagaar ka Mustahiq nahin hoga.
In halat mein jistarh Mulazimeen pareshan hein isi tarah karkhane ke Malik hazraat aur dukandar bhi pareshan Hain Ki product Banna aur kharidna-bechna sab kuchh band hai,neez agar wo kiraya dar hai to unse kiraya bhi liya ja raha hai lihaza kahin Aisa Na Ho jaaye ke ya Hazrat pareshan hokar kar ijara-nokari ke muaamale ko hi ko faskh-csnsal kardewe to Mulazimeen ke liye aainda bhi pareshani badh jaay.
Albatta aise haalat Jo na kahe Jaye na sahe jaye Apne Mulazimeen ke sath hamdardi se pesh aana akhlaqi Fariza aur haqeeqi Insaniyat hai aise halat mein unhe be Sahara preshani ki halat mein chhod dena khilaf e Insaniyat or khud garzi ke siwa kuch nahi lihaza un ki jitni bhi ho sake madad karni chahiye ke un ke ghar ka chulha jalta rahe or yahi bahtareen waqt he in gareebo se duaain lene ka.
و الله اعلم بالصواب
HAZRAT MUFTI JUNAID PALANPURI MUMBAI KULABA
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Sunday, May 10, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot