NAMAZE TAHAJJUD KI BE-SHUMAAR BARKATEN AUR FAWAAID
❶ Namaze Tahajjud Nek Logon Kii Sifat hei.
❷ Namaze Tahajjud Bahut Sii Khairo BhaLaai MiLne Ka Sabab hei.
❸ Farz Namazon Ke Baad Sab Se AfzaL Namaz Namaze Tahajjud hei.
❹ Namaze Tahajjud Jannat mei SaLaamatii Ke Saath DaakhiL hone Ka Zariya hei.
❺ Namaze Tahajjud Jannat Ke MahaLLaat Ka MaaLik Banaatii hei.
❻ Namaze Tahajjud Ambiya-e-kiraam ALayhimussaLaam, Sahaba-e-kiraam RaziyaLLaahu Anhum, SaLfe SaaLiheen RahimahumuLLaahu Ta'aaLa Kii Khaas Ibaadat hei.
❼ Namaze Tahajjud DiL Kii Dawaa hei.
❽ Namaze Tahajjud Namazon mei AfzaL Tareen Ibaadat hei.
❾ Tahajjud Ke Waqt Giryaho Zaarii Naseeb hotaa hei.....Jiska Bahut Sawaab hei.
❶⚈ Namaze Tahajjud mei TiLaawate Quraan Ka Mauqa Bhii MiLta hei, Jiska Be-shumaar Sawaab hei.
❶❶ Tahajjud Guzaar ALLaah Ta'aaLa Ka Mehboob Banda hei.
❶❷ Namaze Tahajjud FazeeLat WaaLa AmaL hei.
❶❸ Namaze Tahajjud Padhne WaaLa Shukr Guzaar Banda Ban jaata hei..
❶❹ Namaze Tahajjud Padhne WaaLa Zikr Karne WaLon mei Shumaar hota hei.
❶❺ Namaze Tahajjud Gunaahon Se aad Ban Jaatii hei.
❶❻ Juma'a Ke Din Kii Tarah har Raat mei Bhii QabooLiyat Kii Ek Gharii hotii hei, Jo Namaze Tahajjud Ke Liye Uthta hei, Goya Wo Us Gharii Ko PaLeta hei.
❶❼ Namaze Tahajjud BeLa Hisaab DukhooLe Jannat Ka Sabab hei.
❶❽ Namaze Tahajjud Padhne WaaLa Buzurg aur Mu'azzaz Logon mei Shumaar hota hei.
❶❾ Aise Mian Biwee Jo Namaze Tahajjud Ke Liye Ek Doosre Ko Jagaate hein, Un Ko Sarkare Do'aaLam SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Kii Duaa MiL Jaatii hei Ke, "ALLaah Ta'aaLa Un Par Raham Farmaye"
❷⚈ Namaze Tahajjud Jahannam Se Bachaao Ka Zariya hei.
❷❶ Namaze Tahajjud BhaLaaiyon Ka Darwaaza KhoLne WaaLa AmaL hei.
❷❷ Namaze Tahajjud Aisa AmaL hei Jis Par Rashk Karna Jaaiz hei.
❷❸ Namaze Tahajjud Banda Ko Apne Rab Ke Qareeb Kartiii hei.
❷❹ Namaze Tahajjud Momin Kii Shaan mei Izaafa Kartii hei.
❷❺ Namaze Tahajjud Darajaat Ko BuLand Kartii hei.
❷❻ Namaze Tahajjud Ke Zariye Shaitaanii Asaraat Se Hifaazat Mumkin hotii hei.
❷❼ Namaze Tahajjud Fitnon Se Bachaatii hei, aur MaaL me Barkat Laatii hei.
❷❽ Namaze Tahajjud Jannati Huron Ka Mahar Hai,
❷❾ Namaze Tahajjud Allaah Ta'aala Ka Pasandeeda Amal Hai,
❸⚈ Namaze Tahajjud Duniya Ki Lazzat Aur Rooh Hai,
❸❶ Namaze Tahajjud Padhne WaLon Ke Chehron Par Raunak hota hai,
❸❷ ALLah ﷻ Namaze Tahajjud Padhne Wale Ka Roab aur Dabdaba Dusron Ke DiLon mein DaaL Dete hain,
❸❸ Namaze Tahajjud Qayaamat Ki Sakhtii Ko Door Karti hai,
❸❹ Namaze Tahajjud Padhne WaaLe Ke AmaL Par Zameen Gawah Ban Jati hai,
❸❺ Namaze Tahajjud Qayaamat Ke Din Noor miLne Ka Zariya hai,
❸❻ Namaze Tahajjud Aankhon Ki Thandak aur Rahat Ka Samaan Paida Karti hai,
Zara Sochiye....!!! Ke Namaze Tahajjud Padhne mein Isqadar Barakat aur Sawaab miLta ho, aur Phir ham GhafLat Ki Neend So Jaaye, aur in Barakat aur Sawaab Ko HasiL Karne Ki Zara Bhi Mehnato Koshish Na Ki jaye To Kisqadar Mehroomi Ki Baat hai,
ALLaah ﷻ ham Sab Ko Namaze Tahajjud Ki Ye Barakat aur Sawaab HasiL Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye, aameen
>>>Tammat BiL-khair
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, May 30, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot