*FITRAH KITNA & KYA ?*
AAJ KA SAWAL 2104
Ek aadmi ka Fitra kitne rupiye hain aur kya cheez de sakte hain?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Sadqah e fitr me har qism ka galla (anaaj) aur qeemat dena jaiz hai,
Uski tafsil yeh hai
Agar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 575 gram) dena chahiye,
Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 125 gram) jaw (barley) ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,
Aur agar qeemat de to pone do kilo gehu ya saade teen kilo jav ki keemat deni chahiye,
(Aaj ke hisaab se 55 rupiye adaa karne honge)
Sab se behtar fitra yeh hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kismis (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyadah hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,
Hadis me hai ke
*ALLAH TUMHE ZIYADAH DE TO TUM BHI ZIYADAH DO.*
COMMON FITRA
GEHUN KI QEEMAT RS 55 [year 2020]
GOOD FITRA
SADE TIN KILO JAW (BARLEY) YA USKI QEEMAT RS.190
(year 2020)
BETTER FITRA
SADE TIN KILO KHAJOOR YA US KI QEEMAT RS 700
[year 2020]
BEST FITRA
SADE TIN KILO KISHMISH YA US KI QEEMAT RS 1200
[year 2020]
*NOTE:* YE BHAW SURAT AUR US KE ATRAAF KA HAI
Masaile roza 416, ba hawala
ilmul fiqah 4/53
AWZANUL MAHMOOD
JAWAHIRUL FIQAH
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
*_Join Telegram Channel_*
https://t.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Tuesday, May 19, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot