*MASJID ME AAPAS ME FASLA H RAKHKAR NAMAZ PADHNE KA HUKM*
AAJ KA SAWAL NO.2125
ABHI MASJID DAY 8 TARIKH SE KHULNE WALI HAI TO HUKUMAT MEIN YAH QANOON PASS KIYA HAI HI KE DO SAFON KE DARMIYAAN MASJID ME EK SAF KO CHHOD DIYA JAAYE AUR HAR DO SHAKHS KE DARMIYAAN EK METTAR YA UUS SE ZAID KA FASLAH RAHA JAAYE TO KYA IS TARAH FASLA RAKH KAR NAMAZ PADH SAKTE HAIN?
*BIMARI LAGNA YAQEENI NAHI HAI BALKE EK WAHAM HAI TO US KI BUNYAD PAR IJAZAT HOGI?*
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
NAMAZ ME SAFON ME MIL MIL KAR KANDHE SE KANDHA MILAKAR KHADE REHNE KI AHAADEES ME BADI TAKEED HAI AUR US KE KHILAF KARNE PAR AAPAS ME IKHTILAF PAIDA HONE WAGAIRAH WAEEDEN WARID HUI HAIN ISLIYE FUQHAA-MASAIL KE MAAHIREEN NE SAF ME MILKAR KHADA HONA SUNNATE MUAKKADAH-WAJIB KE QAREEB LIKHA HAI IS KE KHILAF KARNA MAKRUHE TAHRIMI HAI ISLIYE JAHAN TAK HO SAKE US KE KHILAF *AAM HAALAT ME BILKUL GUNJAISH NAHI HOGI*
LEKIN CORONA VIRUSE KI WABA KI WAJHA SE AALAMI SIHHAT KA IDARAH WHO KI HIDAYAT KE MUTABIQ FASLA RAKHNA LAAZIM HAI AUR HUKOOMAT KI MASJID KHOLNE KI IJAZAT FASLE KI SHART KE SATH HAI AGAR FASLA NA RAKHA GAYA AUR POLISE KO PATA CHAL GAYA TO US MASJID KO TALA LAG SAKTA HAI
RAHU BAAT BIMARI LAGNE KE WAHAM KI TO YE AESI BIMARI HAI KE IS KI NISHANI ZAHIR FORAN NAHI CHALTI BALKE AAHISTA AAHISTA HAFTE PANDHARA DIN BAAD CHALTA HAI WAHAN TAK YE KAI LOGON KO MUTASSIR KAR CHUKA HOGA AESI SURAT ME POLISE DDANT DAPAT AUR KAARYAWAHI KAR SAKTI HAI AUR CESHES BADHNE KI SURAT ME MEDIA KE ZARIYE MASAJID AUR MUSALMAN KO BADNAM BHI KIYA JA SAKTA HAI LIHAZA IN MUMKINA KHATRON SE BACHNE KI LIYE NAMAZIYON AUR SAFOON ME FASLA RAKHNE KI GUNJAISH HOGI
الحرج مدفوع
الضرر یزال
اذا ابتلی ببلیتین فاختر اھونھما
Al ashbaah wan nazaair
Aur
Hazrat Mufti juned palanpuri db mumbai ke fatwe se mustafaad
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :
15 SHAWWALUL MUKARRAM 1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
*Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai*
*_Join Telegram Channel_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
الاثنين، 8 يونيو 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot