𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, June 3, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

▓━﷽━▓
┏───────────────────┯ ✿
│ *●◑ ADAAB E ISHQE RASOOL●◑*
_ﷺ_
┗───┯ ✿ *posт ղo☞13*

*▓━ Har Kaam Ulma Kiraam Se Poochh Kar Kijiye*

▓━━━✿━━━ ▓

✪_Aap Jo Kaam bhi kijiye Ulma Kiraam Se Poochh Kar Kijiye k Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ko Allah Ta’ala ne Nabuwat dene ke 23 baras Baad Tak Zindagi ata farmayi , 13 Saal Makka Sharif mai aur 10 Saal Madina Sharif mai , To is arse mai Aapne Kya Khushiya’n manayi , Kitne logo Ka yaume Wiladat manaya ,Kitne logo Ka yaume wafaat manaya ,Isko Ulma Kiraam Se Poochhiye ,

✪_Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Saare Nabiyo se badh kar Hazrat Ibrahim Alaihissalam se Muhabbat thi isliye Darood Sharif mai bhi Aapke Naam ke saath Zikr Hai ,Aur kisi Nabi Ka naam Kyu nahi liya ? Chunki Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne maanga Tha k Ya Allah ! Makka Sharif mai ek Paigambar paida farma , Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki Dua se Aapki baisat Hui , Lihaza kisi tabqe Ka Aalim ,Kisi Jama’at Ka Aalim ye Saabit kar de k Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Kisi Paigambar Ka ye Kisi Shakhs Ka Day ( Birthday ) manaya ho ? Isliye Kehta hu’n k Ulma Kiraam Se Poochh lo aur Poochh Poochh Kar Amal Karo ,Hamari Baat na maano to Tehqeeq kar lo,

✪_Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne Khilafat Milne ke baad Dhaayi Saal Zindagi payi , Poochho k Unhone konsa Din manaya ? Ye cheeze kab se Shuru Hui ? Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum aur Salfe Saleheen Ki Zindagiyo mai Kahi ye Khurafaat Aapko nahi milegi ,

✪_Are ! Hamari Har Saans Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam per ,Aapki Hayaate Tayyaba per Fida honi chahiye,Har Subeh ,Har Shaam ,Har Waqt Hume unko Yaad Rakhna Hai , Ishqe Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ka haasil to ye Tha k Huzoor ke naqshe qadam per Zindgi ki har Saans fida karte ,Subeh Shaam Koi din naaga na karte ,Kasrat se Darood Sharif padhte aur Kasrat se Aapki Sunnato Ka muzakra karte ,
“__ Agar hum log ek ek Sunnat zinda karte to Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Roohe Mubarak kitni Khush hoti ,Agar Aaj Ummat ke Sabhi Mard Daadhi rakh le ,Paancho Waqt ki Namaz Jama’at ke Saath padhne lage ,Apne Takhne khol le aur Jitni Sunnate Hai’n Sab per Amal Kare ,Gaana Bajana Chhod de ,To bataiye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Roohe Mubarak kitni Khush hogi ,

✪_ Wo Shakhs Zaalim Hai Jo Second ko bhi Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Zaate Giraami ko Bhool Jaye ,Aapki Muhabbat imaan Ka juzv hai ,Lihaza Jo Shakhs Aapki Risalat per imaan na laye uska Kalma Durust nahi Hai Agarche Raat Din “Laa ilaaha illallaah ” padhe , use Nijaat nahi milegi Jab Tak wo ” Muhammadur Rasoolullaah ” nahi padhega ,Yani agar Aapki Risalat per imaan nahi layega to Jahannam mai jayega ,Allah Ta’ala ke Baad poori Kaaynaat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam se badh kar kisi Ka darja nahi Hai ,

* Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Reh._,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*◐ आदाबे इश्क़ ए रसूल ﷺ◐*

*▓━हर काम उल्माए किराम से पूछ कर कीजिए*
❖══✰═══❖

❖_आप जो काम भी कीजिए उल्माए किराम से पूंछ कर कीजिए कि सरवरे दो आलम सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम को अल्लाह ताला ने नबूवत देने के 23 बरस बाद तक ज़िंदगी अता फरमाई ,13 साल बाद मक्का शरीफ में और 10 साल मदीना शरीफ में,तो इस अरसे में आपने क्या खुशियां मनाई,कितने लोगों का यौमे वफात मनाया,इसको उलमा किराम से पूछिए,

❖_आप सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम को सारे नबियों से बढ़कर हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम से मोहब्बत थी इसीलिए दरूद शरीफ में भी आपके नाम के साथ ज़िक्र है,और किसी का क्यों नही लिया?चूंकि हुज़ूर सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम को हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने मांगा था की या अल्लाह!मक्का शरीफ में एक पैगम्बर पैदा फर्मा,हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम की दुआ से आपकी बिसात हुई,लिहाज़ा किसी तबके के आलिम ये साबित कर दे कि आप सलल्लाहुअलैहि वसल्लम ने किसी पैगम्बर का या किसी शख्स का डे (बर्थडे)मनाया हो?इसीलिए कहता हूं कि उलमा किराम से पूछ लो और पूछ पूछ कर अमल करो,हमारी बात न मानो तो तहक़ीक़ कर लो,

❖_हज़रत सिद्दिक़ अकबर रज़ियल्लाहु अन्हु ने खिलाफत के बाद ढाई साल ज़िंदगी पाई,पूछो के उन्होंने कौनसा दिन मनाया?ये चीजें कब से शुरू हुई?सहाबा किराम रज़ियल्लाहु अन्हुम और सल्
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot