▓━﷽━▓
┏───────────────────┯ ✿
│ *●◑ ADAAB E ISHQE RASOOL●◑*
_ﷺ_
┗───┯ ✿ *posт ղo☞19*
*▓━ Asal Ishqe Rasool itteba e Rasool_ﷺ_Hai,*
▓━━━✿━━━ ▓
✪_Asal Rabiul Awwal uska Hai Jo Raat Din har Waqt Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Yaad rakhta hai ,Saal mai ek Mahine ke liye nahi ,ek Din ke liye nahi ,, Jiski har Saans 12 Rabiul Awwal Hai,Jo Allah ke Nabi ki Sunnat per zinda rehta Hai,har Saans mai sochta Hai aur Ahle ilm se poochhta Hai k Khushi kese manayi Jaye ,Shaadi kese ho ? Gami kese ho ? Saari Sunnate poochhta ho aur Sunnat ke mutabiq Khushi aur Gami ki taqribaat karta Hai ,
✪_Rabiul Awwal ke Juloos aur Charaaga Karna agar achchi Cheez hoti to Sahaba zaroor karte Kyunki wo Jaan fida karne wale they, Shama e Risalat ke parwane they , Wo is per Amal zaroor karte ,Lekin Shari’at ne in cheezo se Mana Kiya Hai k israaf v fizool kharchi mat Karo , Aag jalana aur jagah jagah Charaaga Karna Hindu’o aur Majusiyo’n Ka Tareeqa Hai ,Hume Sahaba Kiraam ke Tareeqo per Rabiul Awwal guzaarna Hai ,
✪_Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k logo ! Agar Darood Sharif nahi padhoge to tumhari Dua Asmaan ke ouper nahi jayegi Lekin Aapne toheed ki hifazat ke liye us darakht ko katwa diya Jis per Nabi Sallallahu Alaihivasallam ne Apni peeth Ka Sahara le kar Sahaba Kiraam ko Jihaad ke liye bayt Kiya Tha , Baaz log barkat ke liye us darakht ke paas beth Kar Dua maangne lage ,
“_”Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Socha k Aaj to yahi Hai k log us darakht ko isliye Mubarak samajh Kar Dua Kar rahe hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is darakht se peeth Ka Sahara laga Kar Sahaba se Bayt li thi Lekin Kal is darakht ko Sajde Shuru ho jayenge ,aur Khuda ko Chhod kar darakhto ki Pooja Shuru ho jayegi , Ye Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu Ka Yaqeen Tha ,Unki Toheed ki himmad thi k ese Mubarak darakht ko kaat Diya Tha k Ummat ka imaan zaaya na ho aur Toheed Jo Maqsade Risalat Hai usko nuqsaan na pahunche , Nabiyo’n Ka maqsad ye Hai k Logo ko Gairullah se kaat Kar Allah se Jode , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Mana farmaya k Khabardar ! Meri Qabr ko ibaadat gaah mat banana ,
✪_Aaj Kal ke log Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu per bhi Fatwa laga denge k Nauzubillah Wo bhi Auliya Allah ke qaa’il nahi they ,
* Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Reh._,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*◐ आदाबे इश्क़ ए रसूल ﷺ◐*
*▓━असल इश्के रसूल इत्तेबाए रसूल है*
❖══✰═══❖
❖_असल रबीउल अव्वल उसका है जो रात दिन हर वक़्त हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम को याद रखता है,साल में एक महीने के लिए नही,एक दिन के लिए नही,,,जिसकी हर सांस 12 रबीउल अव्वल है,जो अल्लाह के नबी की सुन्नत पर ज़िंदा रहता है, हर सांस में सोचता है,और अहले इल्म से पूछता है कि खुशी कैसे मनाई जाए , शादी कैसे हो?सारी सुन्नतें पूछता है और सुन्नत के मुताबिक खुशी और गमी की तक़रीबात करता है,
❖_रबीउल अव्वल के जुलूस और चिरागा करना अगर अच्छी चीज होती तो सहाबा ज़रूर करते क्योंकि वो जान फिदा करने वाले थे,शमाए रिसालत के परवाने थे, वो इस पर अमल ज़रूर करते, लेकिन शरीयत ने इन चीजों से मना किया है की इसराफ़ व फ़िज़ूल खर्ची मत करो, आग जलाना और जगह जगह चरागां करना हिंदुओं और मजूसियों का तरीका है, हमे सहाबा किराम के तरीक़ों पर रबीउल अव्वल गुज़ारना है
❖_"_हज़रत उमर रज़ियल्लाहु अन्हु फरमाते हैं कि ऐ लोगों!अगर दरूद शरीफ नही पढोगे तो तुम्हारी दुआ आसमान के ऊपर नही जाएगी लेकिन आपने तौहीद की हिफाज़त के लिए उस दरख़्त को कटवा दिया जिस पर नबी सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने अपनी पीठ का सहारा ले कर सहाबा किराम को जिहाद के लिए बेत किया था, बाज़ लोग बरकत के लिए उस दरख़्त के पास बैठ कर दुआ मांगने लगे,
"_"हज़रत उमर रज़ियल्लाहु अन्हु ने सोचा कि आज तो यही है कि लोग उस दरख़्त को इसीलिए मुबारक समझ कर दुआ कर रहे हैं कि नबी करीम सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इस दरख़्त से पीठ का सहारा लगा कर सहाबा से बैत ली थी लेकिन कल इस दरख़्त को सजदे शुरू हो जाएंगे, और खुदा को छोड़ कर दरख्तों की पूजा शुरू हो जाएगी, ये सैयदना उमर रज़ियल्लाहु अन्हु का यकीन था, उनकीं तौहीद की हिम्मत थी कि ऐसे मुबारक दरख़्त को काट दिया था कि उम्मत का ईमान जाया न हो, और तौहीद जो मक़सदे रिसालत है उसको नुकसान न पहुंचे, नबियों का मक़सद ये है कि लोगों को गैरुल्लाह से काट कर अल्लाह से जोड़े, आप सल
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
الاثنين، 8 يونيو 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot