𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, June 10, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

VIDEO GAME KHELNA

Aaj Ka Sawal No.2127

Video game khelna kaisa hai ?
is me na shart hai, na in'aam ka laalach, balke nishanah baazi driving wagairah ki practice hoti hai, vacation me bachchon ka jee bahelta hai, aur badon ka time pas ho jata hai, to ye khelna kaisa hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hz. mufti yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi tahreer farmate hain ke :
video game dekhne walon ke mushahidah se jahaan tak pataa chala aur haqiqat mal'alum huwi yeh khel chand wuzuahat se shara'an jaiz nahin.

Is khel me deenee, jismani koi faidah maqsud nahin hota, aur jo khel in donon faidon se khali ho woh jaiz nahin.

Is me waqt, rupiya (m.b) zayea hoti hai.

Namaz, zikr se gafil karne wala hai.

Sab se sakht nuqsaan yeh hai ke is khel ki aadat padne par chhodna mushkil hota hai (vakil, doctor aur imam ban jata hai lekin aadat nahin chhutti hai)

Ba'az game me music hoti hai, jis ka sunna haraam hai. aur tasweer bhi hoti hai jis ka bila zaroorat istiamal mana hai.

Is khel se bachchon ko agarche dili khushi aur lazzat hasil hoti hai lekin na-jaiz chizon se lazzat hasil karna bhi haraam hai, balke ba'az fuqahaa (masail ke maahir) ulamaa ne kufr tak likha hai.

is se bachchon ka zahan kharaab hota hai.

taalim-tijarat, noukri aur ghar ke zaruri kaamon me khalal waqea hota hai.

bachchon ko padhai aur dusre faidah wale kaamon me dilchaspi nahin rehti.

Bachcha maa bap ka naafarmaan ban jata hai, us khel ke dauran koi bhi kaam karne ko kaho nahin karega.

zyada khelne ki wajha se mizaj me chidchidapan paida hota hai, aur gussa jaldi aata hai.

log apne farig waqt me aksar video game khelne ki wajha se jismani warzish wale khel se mahroom rehte hai, jis se un ke jism ki charbi badh kar gair zarooree wazan badhta hai.

Baaz video game me aisa dikhaya jata hai ke khelne wala bank se soodi loan leta hai aur sood bharta hai, baaz game me khinjir aur sharab ki kharidari karta hai, to bachpan hi se shariyat ki in sakht haram karda chizon ki kabahat dil se nikal jati hai, video game ke zariye in chizon ke lene dene ka uske zahan me utar kar uska aadi banaya jata hai, jo bade hokar bhi in chizon ki kabahat aur nafrat uske dil me nahi rehti.

Baaz game me (jaise PUBG ka naya version) usme player boot (murti) ko agar sajda kare, usko namaskar kare to uski eminity power (muqable ki shakti) badh jati hai aisa dikhaya jata hai, wo is tarah apni razamandi se in kufr ke kaam par razi hokar button daba deta hai, to iman se bhi kharij ho jata hai.


in mazkoorah wujoohat ki binaa par yeh khel Baari Ta'ala ke irshaad ka misdaaq hai
"baz log apni jahaalat se khel tamashe ikhtiyar karte hai aur us me paisa kharch karte hai, taake Allah ki raah se logon ko bhatkaawe aur deen ki baaton ko khel tamasha banaate hai, inhi logon ke liye zillat wala azaab hai"
(surah e luqmaan ayat no.6)

Hz. Hasan rh. "lahwal hadees" ke mutalliq farmate hai ke aayate mazkoorah me lahwal hadees se muraad har woh chiz hai jo Allah ki ibaadat aur us ki yaad se hataane wali ho, masalan fuzul khel kud, fuzul wissah goi, jokes, hansi mazaaq ki baten, fuzul bahas aur gaana bajana wagairah.

*video game me yeh saari kharabiyan mavjood hai, isliye video game naajaiz hai, isme waqt aur paisaa lagaana naajaiz hai aur is ko chhod dena laazim-zaruri hai*

و الله اعلم بالصواب

AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL PURANA NUSKHA 7/336

NAYA TAKHRIJ SHUDA NUSKHA 8/442 SE MAKHOOZ MAA *IZAFE* AZ AHQAR

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
*_Join Telegram Channel_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot