𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Sunday, June 7, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

▓━﷽━▓
┏───────────────────┯ ✿
│ *●◑ ADAAB E ISHQE RASOOL●◑*
_ﷺ_
┗───┯ ✿ *posт ղo☞17*

*▓━ Charaaga Karne aur Makhsoos Din Manane Ki Haqeeqat-3*

▓━━━✿━━━ ▓

✪_ *( Pichhle Part se Jaari)* .. Jab Tak Allah ki Muhabbat mai khudi nahi hoti Bandgi mai Rooh nahi aati , Kitaabo se ye Muhabbat nahi milti , Muhabbat to Ahle Muhabbat ki Sohbat se milti Hai ,

✪_Lihaza mai ye Sawal karta hu’n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Jab Duniya se Tashreef le gaye to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Dhaayi Saal Khilafat ki ,Kya Tareekh mai Koi iska saboot de Sakta Hai k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Rabiul Awwal mai Masjide Nabvi mai Rogane Zetoon se Chiraaga Kiya ho ? Yaha’n to Aaj Kal Bulb hai’n us Zamane mai to Bulb nahi they Lekin Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Bahut se Chhiraag to jala sakte they Lekin Koi Chiraaga nahi jalaya ,Kya Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jinhone Apni jaan fida ki ,Jinke bare mai Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Abu Bakar Siddiq ki ek din ki ibaadat Umar ki Saari Zindgi ki ibaadat se Afzal Hai ,

✪_Aur ek Us Raat ki ibaadat jab unhone Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Saath Hijrat ki thi ,Meri Tamaam Raato ki ibaadat se afzal Hai , itna bada Aashiq Jiske bare mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai’n k agar Ek palde mai Saare Paigambaro ki Ummat ke Sahaba Ka aur mere Sahaba Ka imaan rakha Jaye aur Doosre Palde mai Siddiqe Akbar Ka imaan rakha Jaye to unka palda Jhuk jayega ,

✪_Yani is Ummat ke Sahaba aur Pichhli tamaam Ummato ke Sahaba ke imaan se zyada Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Ka imaan hai to is Sabse bade Aashiqe Rasool ne Dhaayi Saal Hukumat ki aur Dhaayi Saal andar Do baar Rabiul Awwal aaya Tha Magar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Koi Chiraaga nahi Kiya ,
“__ Aur Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ke paas Kya kami thi ,Bahut Maaldaar they aur Hazrat Abdur Rahman bin Auf Raziyallahu Anhu Bahut bade Tajir they ,Bahut Maaldaar they,in Maaldaar Sahaba ne bhi Koi Chiraag nahi jalaya ,Wo Apne Dil mai Chiraag jalate they ,Sahaba Apne Dilo mai itteba e Sunnat ke Noor se Chiraag jalate they ,

* Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Reh._,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*◐ आदाबे इश्क़ ए रसूल ﷺ◐*

*▓━चरागां करने और मख़सूस दिन मनाने की हक़ीक़त-3*
❖══✰═══❖

❖_(पिछले पार्ट से जारी)...जब तक अल्लाह की मोहब्बत में खुदी नही होती बंदगी में रूह नही आती,किताबों से ये मोहब्बत नही मिलती ,मोहब्बत तो अहले मोहब्बत की सोहबत से मिलती है,
लिहाज़ा मैं सवाल करता हूँ कि हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम जब दुनिया से तशरीफ़ ले गए तो हज़रत अबु बकर सिद्दीक रज़ियल्लाहु अन्हु ने ढाई साल खिलाफत की, क्या तारीख में इसका कोई सबूत दे सकता है कि हज़रत अबु बकर सिद्दीक रज़ियल्लाहु अन्हु ने रबीउल अव्वल में मस्जिदे नबवी में रोगने ज़ैतून से चिरागा किया हो?यहां तो आजकल बल्ब हैं उस ज़माने में तो बल्ब नही थे लेकिन अबु बकर सिद्दीक रज़ियल्लाहु अन्हु तो बहुत से चिराग तो जला सकते थे लेकिन कोई चिराग़ा नही जलाया,क्या अबु बकर सिद्दिक रज़ियल्लाहु अन्हु जिन्होने अपनी जान फिदा की ,जिनके बारे में सैयदना उमर रज़ियल्लाहु अन्हु फरमाते हैं कि अबू बकर सिद्दीक की एक दिन की इबादत उमर की सारी जिंदगी की इबादत से अफ़ज़ल है,

"_और एक उस रात की इबादत जब उन्होंने हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के साथ हिजरत की थी,मेरी तमाम रातों की इबादत से अफ़ज़ल है, इतना बड़ा आशिक़ जिसके बारे में हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि अगर एक पलड़े में सारे पैगम्बर के सहाबा का और मेरे सहाबा का ईमान रखा जाए और दूसरे में सिद्दिके अकबर का ईमान रखा जाए तो उनका पलड़ा झुक जाएगा,

❖_यानी इस उम्मत के सहाबा और पिछली उम्मतों के सहाबा के ईमान से ज़्यादा हज़रत अबु बकर सिद्दीक रज़ियल्लाहु अन्हु का ईमान है तो इस सबसे बड़े आशिके रसूल ने ढाई साल हुकूमत की और ढाई साल में दो बार रबीउल अव्वल आया था मगर हज़रत अबु बकर सिद्दीक रज़ियल्लाहु अन्हु ने कोई चिरागा नही किया,

❖_और सैयदना उस्मान रज़ियल्लाहु अन्हु के पास क्या कमी थी ,बहुत मालदार थे और हज़रत अब्दुर्रहमान बिन ऑफ रज़ियल्लाहु अन्हु बहुत बड़े ताजिर थे,बहुत मालदार थे ,इन मालदार सहाबा ने भी कोई भी चिराग नही जलाया ,वो अपने दिल मे चिराग जलाते थे,सहाबा अपने दिलों में इत्तेबाए सुन्नत के नूर से चिराग जलाते
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot