*MASJID ME DO JAMAAT AUR DO JUM'AH KA HUKM*
aaj kaa savaal no. 2129
Social distance ki vajah se yaa kahin chand aadamiyon ko jamaate namaaj padhne ki ejaajat hone ki vajah se masjid bhar jaati hai, aur musalli namaaj padhne se baaki rah jaate hai.
to dobaaraa usi masjid me namaaz ki jamaat kar sakte hai ??
Jawab
حامدا و مصلیا مسلما
mohalla ki wo Masjid jis me imaam aur muazzin mutayyaan ho aur usme paanch vakt ki namaaz jamaat ke saath hoti ho, us me dusri jamaat makruh hai.
agar chhe dusri jamaat bilaa azaan ke mehraab vagairah se hat kar ho to bhi raajih yaani ne muftaa bihi qaul yahi hai.
Azizul fatawa
Imdadul ahkaam
Bahishti zevar
aur masjid ki aabaadi ke liye ek vaqt ki ek jamaat matlub hai, kaee jamaton se nahi.
Is liye jab hazrat nabi e karim sallallaahu alayhi wasallam ansaar ke darmiyaan sulah ke liye tashrif le gaye, vaapsi par masjid me jamaat ho chuki to nabi sallallaahu alayhi vasallam kisi ajvaaz ke makaan me namaaz baa jamaat adaa farmaye, lekin masjid me dusri jamaat nahi farmayi.
8 june se masaajid me sharait ke saath aam ijazat ho chuki hai, agar dusri jamaat ki ijazat di jayegi to bahut mumkin hai ki namazo me asal jamaat mukhtasar aur dusri jamaate badi ho, isse lazimi tor par asal jamaaat ki ahmiyat par asar hoga, usme ek dar ye bhi hai ki logon me jamaate saaniyaa ka mahol mijaaz qaayam hoga, aur logon ke dilon se dusri jamaat ki buraai bilkul khatm ho jaye, jis chiz ki taraf aam tabiyat melaan aur dilchaspi hoti hai usse bilkul manaa kiyaa jaataa hai, sharaait aur qaido ke saath bhi iski ejazat munaasib nahi.
barahine qaatiaa safaa numbar 127
masjid me dusri tisri jamaaat ka bhi yahi haal hai.
maavjudaa haalaat me jab masjid ki jaamat chhodne ki ejaazat hai to masjid me dusri tisri jaamat karnaa ye koi sharaee jarurat - majburi nahi.
balki niyyaat aur iraade ki vajah se in sha Allah ghar ki jamaat me bhi puraa savaab milegaa,
jin logon ko masjid ke pahli jaamat me jagah na mile woh log lockdown ki tarah gharon me hi namaz adaa kar liyaa kare, aur jum'ah ki namaz bhi lockdown me bataya gaye sharaait aur tarike ke mutaabik adaa kare.
Fatawa daarul uloom devaband
taarikh 13 shavvaal
1441 hijri
6-6-2020
Join Telegram Channel
@IslamicMsgOfficial
*_𝐃𝐨𝐰𝐧𝐥𝐨𝐚𝐝 𝐀𝐩𝐩_*
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, June 12, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot