𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Sunday, June 14, 2020

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

*AURAT KE LIYE HAJ KA HUKM*

AAJ KA SAWAL NO.2131

1. Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?
2. Mahram kise kahte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

1. Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi.

ma’riful quran-2/122 se maakhuz

2. Maharam se murad woh shakhs hai jis ke Saath Nikah haram hai. Chahe nasab ki wajah se ya sasurali, ya dudh ke riste ki wajah se, jaise Bhai-bahen, Bhanja- Bhanji, Bhatija- Bhatiji, aur Unki Aulad. Saas - Sasur , Daamad-Bahu yeh sab maheram hai.

Niz maheram ka mautamad ( Bharose ke qabil), aqil ( aaalmand) Balig aur Fitna v Shahwat ka khatra na hona bhi Shart hai.

Fatava Rahimiya, Kitabul fikah, Maullimul Hujjaj.

Aurat ke liya khalu ( Masa) Fuffa, Apne Shohar ke Bhatije aur Bhanje, apne Behnoi, Dewar, Jeth meharam nahi hai.

Fatawa Rahimiya. - 8/307

Aap ke Masaile - 4/8

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
*_𝐃𝐨𝐰𝐧𝐥𝐨𝐚𝐝 𝐀𝐩𝐩_*
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial

*_𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
By: via 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot