ZABAH KA TARIQA AUR HARAAM AJZAA
Aaj ka sawal 2178
Qurbani ke janwar ko zabah ka tariqah aur gosht ki taqseem aur kasaai ki ujrat aur janwar ki haram chizon ke baare me batane ki guzarish.
Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ?
Janwar ke gale me 4 rag hoti hai.
1) Hulqoom, jisse saans liya jata hai.
2) muri, jisse khana andar jata hai.
3 Aur 4)
Do khun ki ragen.
4 me se 3 rag kat jaye to janwar halal ho jata hai aur sharaee zabah ho jata hai.
(agar 3 na kati sirf 1, ya 2 kati to janwar halal nahin hoga)
Gardan me kis jagah chhuri chalayi jaye ?
Janwar ki gardan ke kisi bhi hisse me chhuri chala sakte hen, usme bich, kinare ki koi qaid nahin hai.
Kitabul masail 2,245,246
Qurbani ki khaal qasai ko de sakte hain ?
Qurbani ke janwar ki khal khud isteamal kar sakte hain, kisi ko de bhi sakte hen, agar khud ne woh khal bech di to is ki qimat garibo me sadaqah karna zaruri hai, *qasai ki ujrat me khal nahin de sakte,* uski ujrat alag se de, *hadiyah ke taur per de sakte hain.*
Mustafad az kitabul masail, 2,53
Qurbani ka gosht gair muslimo ko de sakte hain ?
Qurbani ka gosht gair muslim ko bhi dena jaaiz hai.
Kitabul masail bahawala aalamgiri, aelaus sunan, 2,249
(Albatta muslim ko dena ziyadah behtar hai unka haq pehle hai)
Fatawa rahimiya qadim 6,165
Qur'bani ke zabah kiye huve halal janwar me kitni aur kon kon si cheezon ka khaana haram hai?
Qur'bani ke zabah kiye huve halal janwar me 7 cheezen khana makruh e tahreemee ya'ani haram ke qareeb hai. aur 1 cheez bilkul haraam hai.
(1) Nar janwar ki peshab ki jagah,
(2) Maadah janwar ki peshab ki jagah,
(3) Peshab ki theli,
(4) Pitta (kadwe paani ki theli)
(5) Dono kapuriye :khusyatain: sufed gurde jo gair khassi janwar me hote hain
(6) Gudood ya'ani jame huve khun ki guthli- gaanthe jo ba'az janwar ke gosht me hoti hai.warna gudah jo nalli me se nikalta hai woh to halal hai
(7) Behnewala khun qataee haraam ya'ani Qur'an se hi haraam hai jo khun kate huve gosht aur qeeme -kheeme me hota hah woh pak hai kyun ke woh behnewala nahin hai.
Fatawa mahmooduyyah dabhel 17/297 se 302
Bahawala shami
Kitabul khunsa, masaile shattah 6/749 saeed)
و الله اعلم بالصواب
09 zilhijjah, 1439 hijri
Maulana Ibrahim Alyani Sahab
Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab
Ustaaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
𝐃𝐨𝐰𝐧𝐥𝐨𝐚𝐝 𝐀𝐩𝐩
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
𝐉𝐨𝐢𝐧 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐓𝐞𝐥𝐞𝐠𝐫𝐚𝐦 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐧𝐞𝐥
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, July 31, 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot