हुक़्क़ा पीने का हुक्म
आज का सवाल नंबर २२५७
कया हुक़्क़ा पीना शर'अन जाइज़ है या नहीं ?
जवाब
حامدا و مصلیا مسلما
आज से तक़रीबन ४०० साल पहले कुफ्फार ने हुक़्क़ा बनाया था, फिर ये बहुत ही आम हो गया, पहले के ज़माने में उसे बाज़ बीमारी का इलाज समझा जाता था, लेकिन हमारे ज़माने में इसे लोग बतौरे फेशन और शोख के तौर पर ईस्तिअमाल करते हैं।
इस का हुक्म ये है के अगर उस से नशा होता है तो उस का ईस्तिअमाल नाजाइज़ है, लेकिन अगर नशा नहीं है तो उस का ईस्तिअमाल मकरूह होगा।
अगर किसी शख्स को उस की आदत हो तो उस पर लाज़िम है के मस्जिद या महफ़िल वगैरह में जाने से पहले मुँह की अच्छी तरह सफाइ कर ले, ताके इंनसान और फ़रिश्ते को उस की बदबू की वजह से तकलीफ न हो।
फिर भी हुक़्क़ा पिने की आदत बनाना सख्त मकरूह है (उस से बचना ही चाहिए, इंसान सादा हुक़्क़ा पीते पीते नशे वाले हुक़्क़े तक पहोंच जाता है)
सख्त मकरूह इसलिए है के इस में नीचे लिखे गए नुक़सानात है।
(बाकी कल मेसेज नंबर २२५८ में इन शा अल्लाह)
फ़तवा दारुल उलूम ज़करिया जिल्द ६ सफा ६७३
و الله اعلم بالصواب
*इस्लामी तारीख़*
३० सफरुल मुझफ्फर १४४२ हिजरी
मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.
HUQQAH PINE KA HUKM..!
AAJ KA SAWAL No. 2257
Kya Huqqa Pina Shar'an Jaiz Hai Yaa Nahi..?
* JAWAB *
Aaj Se Taqreeban 400 Saal Pehle Kuffar ne Huqqa Banaya Tha, Phir Ye Bahot Hee Aam Hogaya. Pehle Ke Zamane mein Use Baaz Bimari ka ILaaj Samjha Jata Tha, Lekin Hamare Zamane mein Ise Log Bataure Fashion Aur Shuaq Ke Taur Par Istemal Karte Hain. Iska Hukm Ye Hai Ke, Agar Us Se Nasha Hota Hai, To Uska Istemal Naa Jaiz Hai, Lekin Agar Nasha Lanewala Nahi Hai, To Uska Istemal Makrooh Hoga, Agar Kisi Shakhs ko Uski Aadat Ho, To Uspar Laazim Hai ke Masjid Yaa Mehfil Wagairah mein Jane Se Pehle Munh ki Achchhi Tarah Safayi Karlen, Taake Insan Aur Farishte ko Uski Badbu ki Wajha Se Taklif Naa Ho.
Phir Bhi Huqqa Peene ki Aadat Banana Sakht Makrooh Hai. (Us Se Bachna Hee Chahiye. Insan Sada Huqqah Peete - Peete Nashe Wale Huqqe Tak Pahunch Jata Hai) Sakht Makruh Isliye Hai ke, Isme Neeche Likhe Gaye Nuqsanat Hai.
*Baqi Kal... In Sha Allah..*
FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA JILD 6 SAFA 673
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :
30 SAFARUL MUZAFFAR 1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
𝐃𝐨𝐰𝐧𝐥𝐨𝐚𝐝 𝐀𝐩𝐩
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
DEEN SEEKHE AUR SIKHAYEN
ROZANA 4 ZABAN URDU, ENGLISH, HINDI, GUJRATI ME AUR URDU AUDIO ME SIRF EK MASLA AUR QURAN KA PAIGAM HEE BHEJA JAYEGA, IS GROUhttps://bit.ly/IslamicMsgOfficial
DEEN SEEKHE AUR SIKHAYEN
ROZANA 4 ZABAN URDU, ENGLISH, HINDI, GUJRATI ME AUR URDU AUDIO ME SIRF EK MASLA AUR QURAN KA PAIGAM HEE BHEJA JAYEGA, IS GROUP ME KUCH BHI BHEJ NAHI SAKTE HO.
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 18 أكتوبر 2020
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

