𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 8 أكتوبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–07_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Kaabe Ki Awwal Tameer Hazrat Ibrahim Alaihissallam ne Hazrat Isma'iyl Alaihissallam ke saath ki thi, FIR Bani Jurem, Banu Amalka, Qusa'i aur Quresh ne uski tajdeed ki thi, Tajdeed e Kaaba ki Zarurat Zamane ke Asar ya Sadma Sailaab vagera ki vajah se Paida Ho jaati thi, Kisi gair Qaum ke qabza karke gira dene, munhadim Karne Ka Waqi'a is imaarate kaaba ke sath 5000 saal se nahi hua tha, Jesa k Baikal Yeruslem ke saath baar baar Ese Waqiaat pe dar pe hote rahe aur ye Esa Sharf hai K Duniya Ki Kisi ibadat gaah ko Haasil nahi,*

*★_ Hazrat Ibrahim Alaihissallam aur Unki Aulaad ka dastoor ye tha k Maidan me Jis jagah ko ibaadat gaah muqarrar karte waha'n Ek Lamba bin ghada patthar Sutoon Ki tarah khada kar dete the, Jese abhi Musalman khuli jagah me namaz padhte hue apni chhadi vagera gaad diya karte Hai'n, jise Sutra kehte Hai'n, Hajre Aswad bhi Isi qism Ka patthar hai aur ye bhi Ek Shahadat us Amr K Kaaba Binaye Ibrahimi se ab Kone me Laga dene ke baad ye itna kaam deta hai k tawaaf ka shuru aur khatm ISI jagah se shuru Kiya jata hai, Musalmano me Jo darja iska hai wo iske Naam Hajre Aswad (Kaala patthar) Se Zaahir hai, Ek dafa Farooq e Aazam Raziyallahu Anhu ne Logo'n Ko sunane ke liye Hajre Aswad ko mukhatib kar ke kaha tha:- Tu Ek patthar hai Na Kisi Ko nafa na zarar de sakta hai _," (Bukhari 1597)*

*★_Hum likh chuke Hain K Nabi ﷺ ko Arab Ke Log Nabuwat se pehle Saadiq v Ameen keh kar Bulaya karte they, Chuna'nche is moqe per bhi unhone al-Ameen hi Huzoor ﷺ ko kaha hai, Aan Hazrat ﷺ ne Apni Aqlmandi aur mamla fahmi se esi tadbeer Ki k Sab khush ho gaye, Aan Hazrat ﷺ ne Ek Chandar bichhayi, us per patthar Apne haath se rakh diya, FIR Har EK Qabile ke Sardaar ho kaha k Chaadar ko pakad kar uthaye'n, ISI tarah us patthar ko Waha'n Tak Laye'n Jaha'n qaa'im karna tha, Aan Hazrat ﷺ ne fir use utha kar kone per aur Tawaaf ke sire per laga diya,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne is Mukhtasar Tadbeer se ek Khoo'nkhaar Jung ka Khaatma kar diya Varna us Waqt ke Ahle Arab me Rewad Ke Pani pilane, ghodo'n ke daudane, Ash'aar me Ek Qaum se doosri Qaum ko achcha batane, Jesi zara zara si baato per esi jung hoti thi k Beeso baras Tak khatm hone me Na aati thi,*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 93,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
Telegram

https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
❦❦❦❦
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
⇧⇧ Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot