𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 14 أكتوبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ TOHFA E KHAWATEEN ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞51*
•═══▦☆☆▦═══•
* NAMAZ *
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
*┱✿ Be-Namazi Ka Hashr _,*
*┱_ Namaz ki Pabandi har baalig Mard aur Aurat per laazim hai, Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Namaz ki pabandi ki ( Qayamat ke Din ) Namaz Uske liye Noor hogi aur ( Uske Imaan ki ) daleel aur ( Uske liye ) nijaat ka samaan hogi aur jisne Namaz ki pabandi na ki WO Shakhs Qayamat ke din Qaroon, hamaan Firoun aur Ubai bin Khalf ke saath hoga _,”*

*Mishkaat- Ba hawala Ahmad ,Daarmi ,Bahyqi ,*

*┱_ Dekho Jo Namaz Ki pabandi na kare uska Hashr kese bade Kaafiro ke saath bataya hai ,Jo Kufr ke sargane the aur Khuda ke baagiyo ke zikr mai jinka zikr sabse Pehle aata hai , Unke saath Hashr hone ke kaam karna badi na samjhi hai, Buzurgo ne bataya hai k in Chaar Shakhso ka zikr isliye kiya hai k Namaz chhodne wale umuman Chaar qism ke hote hai’n :-*
*1– Jo Haakim hone ki vajah se Namaz chhodte hai’n, Ye log Firoun ke saathi hue kyunki WO Hukumat ki vajah se Allah ka baagi bana ,*

*2– Jo maaldaari ki vajah se Namaz nahi padhte Ye log Qaroon ke saathi honge kyunki WO maal ki vajah se Khuda e Ta’ala ka nafarmaan bana tha ,*

*3–Jo log mulazmat, Naukri pesha ki vajah se Namaz nahi padhte, Ye log Hamaan ke saath honge Kyunki usne Firoun ka Wazeer hone ki vajah se Khuda e Paak ki bagawat aur Sarkashi akhtyat ki thi ,*

*4– Jo log Tijaarat ,Kaam dhandhe ki vajah se Namaz nahi padhte, Ye log Ubai bin Khalf ke saath honge ,Ye Shakhs ek bada mushrik tha, Tijarat karta tha ,Usko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Apne daste Mubarak se qatl farmaya tha ,*

*┱ _in asbaab ke alawa bhi aur asbaab hai’n jinki vajah se Namaz tark ki jati hai, maslan Bachcho ki vajah se , Sone ki vajah se, Safar ki vajah se, Dukh takleef, Shadi Byaah, in me aksar Namaze qaza hoti hai’n, Halanki Jab tak jaan mai Jaan hai aur hosh baqi hai Namaz tark karne ki Shari’at mai koi gunzaish nahi hai,*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref- TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://T.me/IslamicMsgOfficial

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot