𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 20 أكتوبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–19_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Quresh E Makka ne Nabi ﷺ aur Musalamano per jo Sitam ho rahe they, Use Nakaafi samjha, isliye bajaye mutafarriq koshisho ke ab ba qa'ada Kametiya'n banayi gayi'n, Ek Kameti qaa'im hui Jiska Ameer Abu Lahab tha aur Makka ke 25 Sardaar Uske Member they, is Kameti me hal talab sawal ek ye bhi tha k Jo log door daraaz se Makka me aate hai'n Unhe Muhammad ﷺ ki nisbat kya kaha jaye taki log unki baato me na fa'nse aur unki Azmat ke qaa'il na Ho'n_,"*

*★"_ Ek ne kaha - Hum batlaya karenge k wo kaahin hai _,"*
*"_ Waleed bin Mugira ( Jo Ek Khurra'nt Budhha tha) bola :- Maine bahut se Kaahin dekhe hai'n lekin kaha'n to Kaahino ki tuknandiya'n aur kaha'n Muhammad ﷺ ka kalam ! Humko esi baat nahi kehni chahiye jisse Qaba'il E Arab ye samjhe k hum jhoot bolte hai'n _,"*

*★_ Ek ne kaha :- Hum use Diwana bataya karenge _,"*
*"_ Waleed bola :- Muhammad ﷺ ko Diwangi se kya nisbat hai ?*
*"_ Ek bola :- Achchha Hum kahenge wo Shayar hai _,"*.
*"_ Waleed ne kaha :- Hum jaante hai'n k Sher kya hota hai, Asnafe Sukhan humko bakhoobi maloom hai'n, Muhammad ﷺ ke kalam ko Sher se zara bhi mushab'hat nahi _,"*

*★_ Ek bola :- Hum bataya karenge k Wo Jadugar hai _,"*
*"_ Waleed ne kaha :- Jis Taharat v Nazafat v Nafasat se Muhammad ﷺ rehte hai'n, Wo Jaadugaro me kaha'n hoti hai, Jaadugaro ki manhoos soorte aur Najis Aadate alag hi hoti hai'n _,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 84,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
Telegram

https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
❦❦❦❦
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
⇧⇧ Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot