𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الثلاثاء، 26 أكتوبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–25_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Quresh ne kaha :- Achchha Muhammad ﷺ ! agar tum hamari in baato ko maante to ek aur baat suno, Tumhe maloom hai k hum kis qadar Sakhti aur Tangi se din kaat rahe hai'n, Pani hamare paas sabse kam hai aur Guzraan hamari sabse zyada tang hai, Ab Tum Allah se ye Sawal karo in Pahaado ko hamare Saamne se hata de taki hamare Shehar ka maidan khul jaye, Neez hamare liye esi nehre jaari kar de jesi Shaam aur Iraaq me jaari hai, Hamare baap Daada ko zinda kar de, Un Zinda hone walo me Qusa'i bin Kilaab zaroor ho Kyu'nki wo hamara Sardaar tha aur Sach bola karta tha, Hum usse Tumhari baabat poochh lenge, Agar Usne Tumhari tumhari baato ko sach maan liya aur Tumne hamare doosre sawalo ko bhi poora kar diya tab hum bhi tumhe Sachcha jaan lenge aur maan lenge k Allah ke Yaha'n tumhara bhi koi darja hai aur usne Fil Haqeeqat tumhe Rasool bana kar bheja hai, Jesa k tum keh rahe ho _,"*

*★_ Rasulallah ﷺ ne farmaya:- Mai'n in kaamo ke liye Rasool bana kar nahi bheja gaya hu'n, Mai'n to is taleem ke liye Rasool bana kar bheja gaya hu'n aur Maine Allah ke paigamaat tumhe suna diye hai'n, Agar Tum is Taleem ko Qubool kar loge to ye tumhari Duniya v Aakhirat ke liye Sarmaya hai aur Agar Rad karoge to Mai'n Allah ke hukm ka intezar karunga, Jo kuchh usne mera Tumhara faisla karna hoga farmayega _,"*

*★_ Quresh ne kaha :- Achchha ! Agar tum hamare liye kuchh nahi karte to Tum khud Apne liye Allah se Sawal karo k wo ek Farishte ko tumhare saath muqarrar kar de Jo ye kehta raha kare k Ye Shakhs Sachcha hai aur Humko Tumhari Mukhalfat se mana bhi kar de_,"*
*"_ Haa'n tum Apne liye ye bhi Sawal karo k Baag lag jaye'n, Bade Bade Mahal ban jaye'n, Khazane me Sona Chandi jama ho jaye, Jiski tumhe zarurat bhi hai, Ab tak Tum khud hi Bazaar me jate aur Apni ma'ash talash kiya karte ho, Esa ho jane ke baad hum tumhari fazilat aur Sarf ki pehchan Haasil kar sakenge aur Tumhe Allah ka Rasool samajh Sakenge _,"*

*★_ Rasulullah ﷺ ne farmaya:- Mai'n esa na karunga aur Allah se bhi esa Sawal na karunga aur in baato ke liye Mab'ous bhi nahi hua, Mujhe to Allah ne Basheer v Nazeer banaya hai, Tum maan lo to tumhare liye Zakhira Darain hai, Varna Mai'n Sabr karunga aur Allah ke faisle ka muntazir rahunga _,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 88,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot