𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 15 أكتوبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


*✭﷽✭*
╭┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╮
* QAYAMAT KE AHWAAL *
╰┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╯
*★ POST NO-19 ★*
*╂───────────╂*
*☞_ Mehshar Ke Din Ki Lambayi ❥*
*❀__ Mehshar Ka Din Aam Duniya ke Dino ki tarah nahi hoga, balki Duniya ke Dino ke aitbaar se iski miqdaar Pachaas Hazaar Saal ke barabar hogi , Jesa k Qur’ane Kareem mai Surah Maarij mai irshad farmaya gaya Hai aur Bahut si Ahadees mai bhi ye miqdaar waarid hai _,”*

* Tafseer ibne Kaseer Kaamil – 1378 ,*

*❀__Mehshar ke Din ki Is Lambayi ki vajah se Kaafiro aur Bad Amalo Ka haal kharaabtar ho jayega aur Wo Din kaate nahi katega, Lekin Allah tabarak wa Ta’ala Apni qudrate kaamila se is taweel Tareen Din ko Ahle imaan ke liye ek Farz Namaz guzarne ke baqadr Halka farma dega,*

*❀_Musanad Ahmad mai Rivayat Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – Mehshar mai waqoof Ka Zamana Momin per itna mukhtasar Kar diya jayega Jesa k Ek Farz Namaz Ka Waqt hota hai _,”*
*“__ Aur Tabrani ki ek Rivayat mai Hai k Qayamat Ka Din Momin ke liye Duniya ke ek din ki chhoti se chhoti ek Saa’at ke barabar ho jayega _,”*

* Fatahul Baari – 14/ 547 ,*

*"_Yani Sulha Momineen us Din itni Aafiyat mai honge k unhe Waqt guzarne Ka pata hi na chalega ,Allah Ta’ala hum Sabko Maidane Mehshar mai Esi hi Aafiyat ata farmaye _,( Aameen )*

╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,Baab -6 Qayamat Ke Ahwaal_,*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
https://T.me/IslamicMsgOfficial ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot