𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 24 نوفمبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


*✭﷽✭*
╭┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╮
* QAYAMAT KE AHWAAL *
╰┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╯
*★ POST NO-59 ★*
*╂───────────╂*
*☞ _Mushrikeen Apne Baatil Ma’aboodo Ke Saath Jahannam mai ❥*
*❀__ Hisaab Kitaab vagera ki Kaarwa’i Mukammal ho Jane ke Baad har fard aur Jama’at ko uske Asal thikane Tak pahunchane Ka Amal Shuru hoga ,Sabse pehle Mushrikeen se kaha jayega k Wo Apne Apne Baatil Ma’aboodo Ke pichhe lag Le’n , aur fir unhe Unke Buto’n , Pattharo aur Salibo Samet Jahannam mai dhakel diya jayega, irshade Khudawandi hai :-( Surah Al-Anbiya,Aayat 98-99 )*

*”__ إِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِ اللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ أَنتُمْ لَهَا وَارِدُونَ , لَوْ كَانَ هَٰؤُلَاءِ آلِهَةً مَّا وَرَدُوهَا وَكُلٌّ فِيهَا خَالِدُونَ _,*

*”__ Aur Tum aur Jo kuchh tum poojte ho Allah Ta’ala ke Sivaye, iydhan hai Dozakh Ka ,Tumko us per Pahunchana hai , Agar Hote ye But Ma’abood to na pahunchte is per , Aur Saare isme sada pade rahenge _,”*

*❀__ Aur Ek Taveel Hadees mai waarid hai :- Munaadi Elaan Karega har Jama’at Apne Apne Ma’aboodo ke Pichhe lag le , Chunache saleeb ko poojne wale Apni Saleebo ke Saath aur Buto’n Ko Poojne wale Apne Apne Buto’n ke Saath aur Har Ma’abood ( Baatil ) ke pujari Apne Ma’aboodo ke Saath ho jayenge ,Ta k Sirf Wo log baqi bachenge Jo Allah Ta’ala ki ibaadat Ke mudda’i hai’n ,Khwah Nek ho’n ya Bad ho’n aur Kuchh Ahle Kitaab baqi reh jayenge _,”*

* Bukhari Sharif- 2/117 ,*

╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,Baab -6 Qayamat Ke Ahwaal_,* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Telegram

https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
❦❦❦❦
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
⇧⇧ Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye, ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot