⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–37_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Aan Hazrat ﷺ ka Buraaq per Sawar hona, Masjide Aqsa tak Sayr, Ambiya Alaihissallam ki imaamat, Ambiya Alaihissallam ke saath mulaqaat aur Mufakhrat, Aasmaan per ek ke baad digar chadna, Darja ba darja Talluqat Tab'i se nikal kar Mustavi Rehman ki taraf jana, Sidratul Muntaha, rahe Wo Anwar wo Tajalliyate Rehmani aur Tadbiraate ilahiya, Bayt E Mamoor, Har ek Amr ki Apni Haqeeqat hai _,"*
*★_ Paa'nch Namazo ka Taqarrur bhi Zabane Tajveezi se hua, Ye Paa'nch Namaze Sawab me Pachaas ke barabar hai'n, goya Rab Kareem ne Aahista Aahista ye Samjhaya k Sawab to ( 50 ke barabar) Kaamil hai aur Harj aur Marz utha diya gaya, Ye matlab Hazrat Moosa Alaihissallam ki Sanad se liya gaya hai, Kyu'nki Janabe Mamdooh ( Moosa Alaihissallam) Ummat ki Shinakht me Aksar Ambiya Alaihissallam se badhe hue Hai'n _,"*
*★_ Aksar Mufassireen ne Mairaaj ka zikr Taa'if ki waapsi ke baad kiya hai, Magar imaam Tibri ne Apni kitaab me ibtda e Nabuwat se doosre din hi Mairaaj ka hona Tehreer kiya hai, Unki Taa'ied is daleel se Ba Khoobi hoti hai k Jab Farziyat Namaz ka hukm Shabe Mairaaj me hua aur Nabi ﷺ aur Digar Musalaman us waqt se hi barabar Namaz padhte they to Namaz ki Farziyat ka hukm gyarah ( 11 ) saal tak kyukar Mutakkhir reh sakta hai, Lekin Hasbe Bayan Shah Abdul Haq Muhaddis Dehalvi ( Mindarja Sharah Safar Sa'adat, Safa-36) k pehle sirf do namaze Fajar aur Asr farz hui'n, Koi ishkaal nahi reh jata _,"*
*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 97,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
Telegram
https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
❦❦❦❦
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
⇧⇧ Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
Monday, November 8, 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

