𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 28 نوفمبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–58_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀__Quba me Pahunchna :- 8 Rabiul Awwal 13 Nabuwat Ba Roz Somwar (23 September 622) Mutabiq 10 Tasri 4383 Yahoo thi, K Allah ke Nabi ﷺ Quba me pahunch gaye, Ahle Yasrab ne Jab Se Suna tha ki Aan Hazrat ﷺ ne Makka chhod Diya hai To Roz subah se (intezar me Raaste me Aankhe'n gadaye) hamma chashm Bankar baith jaate aur jab tak theek Dopahar na Ho Jaati baithe rehte,*

*★_ Ye Buzurgwaar Abhi wapas hi gaye the k Huzoor ﷺ pahunch gaye aur ek shaks ke pukarne Se Sab jama ho gaye aur Khair Muqaddam, Allahu Akbar ke tarane gaate hue Aftaabe Risalat Aap ﷺ ird gird Noor Khaiz Suao'n ki Tarah jama Ho Gaye ,*

*★_ Aksar Musalman Ese the jinhone pehle Kabhi bhi Huzoor ﷺ ke Didaar pur Anwar se chashm Zahir Been ko Roshan na kiya tha, Unhe'n Nabi ﷺ aur Huzoor ﷺ ke Rafeeq Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Shinakht se shubha ho jata tha, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu is Zarurat ko taad gaye aur Aan Hazrat ﷺ Ke Sar Mubarak par saya karke khade ho gaye ,*

*★_ Allah Ke Rasool ﷺ Jumeraat tak Yaha'n thehre Aur is Sah Roza Qayaam hi me sabse pehla kaam Yaha'n ye Kiya k Allah Wahdahu La Shareek Ki ibaadat ke liye ek Masjid Ki buniyad rakhi, ISI jagah Shere Khuda Ali Murtaza Raziyallahu Anhu bhi Makka Se paidal Safar Karte hue Nabi ﷺ ki khidmat me pahunch gaye, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Chand Roz Tak Makka me Nabi ﷺ ke irshad ke mutabiq isliye thehar gaye the k Jin Logo'n ki Amanate Huzoor ﷺ ke ghar me mojood thi'n wo Maaliko ko wapas kar di jaaye'n,*

*★_ 12 Rabiul Awwal 1 Hijrat ko juma ka din tha, Nabi ﷺ Quba se Sawar hokar Bani Saalim ke gharo'n Tak pahunche the ki Juma ka Waqt Ho Gaya, Yaha'n 100 Aadmiyo'n Ke sath Juma padha, Ye islam me pehla juma tha,*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 113,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot