𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 24 نوفمبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


*✭﷽✭*
╭┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╮
* QAYAMAT KE AHWAAL *
╰┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╯
*★ POST NO-57 ★*
*╂───────────╂*
*☞_ Chaar Umoomi Sawal._❥*
*❀_ Maidane Mehshar mai Sabse 4 Baato ki tehqeeq ki jayegi , jis Shakhs ne in Chaar sawalaat Ka jawab Apni Amali Zindgi mai Sahi diya hoga Wo Kaamyaab hoga aur Jisne Kotaahi aur gaflat mai Zindgi guzaari hogi Wo nuqsaan aur khasare mai rahega , Wo Sawalaat Kya hai’n inke bare mai Paigambar Alaihissatu Wassalam ne irshad farmaya :-*
*“__ Kisi Shaks ke qadam Qayamat ke Din us Waqt Tak Apni jagah se na hatenge Jab Tak k Chaar Baato ki usse Poochh kuchh na ho Jaye ,*
*(1) Umr Kaha’n lagayi ?*
*(2) Jawani Kaha’n ganwayi ?*
*(3) Maal Kaha’n se Kamaya aur Kaha’n kharch kiya ?*
*(4) Aur ilm per Kya Amal Kiya ?*

* Targeeb v Tarheeb -4/ 214 ,*

*❀_Isliye Aqalmandi Ka Taqaza hai k Hum Duniya hi mai in sawalo Ka Behtar jawab dene ki taiyaari Kare’n Taki hum Akhirat ke imtihan mai Surkh Ru ho sake’n, Allah Ta’ala Hume tofeeq se nawaze, Aameen .*

╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,Baab -6 Qayamat Ke Ahwaal_,*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot