⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–74_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Quresh ki Chothi Saazish:- Junge Uhad ke baad Dushmano ne Sahaba ko Nuqsan pahunchane aur Pamaal karne ki mukhtalif tadbeero per Amal kiya, Chuna'nche 4 Hijri me Quresh ne Qaume Azal aur Qarah ke Saat Shakhso ko gaanth kar Madina me Nabi ﷺ ke paas bheja k Hamare Qabile islam lane ko Tayyar hai'n, Hamare Saath Muallim kar dijiye_,*
*★_ Rasulallah ﷺ ne Das buzurg Sahaba ko Jinke Sardaar Aasim bin Saabit Raziyallahu Anhu they ( Ye Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Naana they) Unke Saath kar diya, Jab ye Sahaba unki zad me pahu'nch gaye to unke Do So jawan aaye k inhe zinda giraftaar kar le'n, 8 Sahaba muqala Karte hue Shaheed ho gaye aur Do buzurg waar Hazraat Khubaib bin Adi aur Zaid bin Dasna Raziyallahu Anhum giraftaar kar liye gaye,*
*★_ Sufiyan Hazli inhe Makka le gaya aur Quresh ke paas farokht kar diya, Quresh ne inhe Haaris bin Aamir ke ghar me chand Roz Bhooka pyasa rakha, Ek Din Haaris ka Bachcha Tez chhuri se khelta hua Khubaib Raziyallahu Anhu ke paas pahunch gaya, Unhone bachche ko Zaanu per bithaya aur chhuri le kar rakh di, Jab Bachche ki Maa'n ne Yakayak dekha k uska Bachcha Chhuri le kar Qaidi ke paas hai Jise chand Roz se unhone be aab v be daana rakha tha, to Usne be Akhtyar cheekh maari _,"*
*★_ Khubaib Raziyallahu Anhu ne kaha k Ye Samajhti hai k Mai'n bachche ko qatl kar dunga, Ye nahi jaanti k Musalman ka kaam gadar karna nahi, Zalim Quresh walo ne chand Roz ke baad Khubaib Raziyallahu Anhu ko Saleeb ke niche le ja kar khada kar diya aur kaha Agar islam chhod do to tumhari Jaan Bakhshi ho sakti hai, Dono buzurgwaaro ne Jawab diya k jab islam baqi na raha to jaan ko rakh kar kya karenge _,"*
*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-130,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Download App
https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
❦❦❦❦
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
⇧⇧ Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
الثلاثاء، 14 ديسمبر 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

