𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

السبت، 11 ديسمبر 2021

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–71_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀__ islami Lashkar me ek Hazaar mard they, Ain Waqt per Uba'i bin Salool ne daga di aur Apne Teen So Saathiyo'n ko Raaste hi me fair kar le gaya, isliye Saat so Musalamano per Paa'nv Hazaar Hamala Aawar ki Mudaf'at ka ( jo inteqam aur gusse ke josh me bhare hue they) baar tha, Musalamano ne ibtida me Dushman Ko Shikasht de di thi aur unke Barah Mash'hoor Alam bardaar ( Jinme Aath Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke haatho maqtool hue they) maare ja chuke they lekin Teerandazo ne us Darre ko chhod diya Jaha'n unhe Nabi ﷺ ne unko qaa'im farma diya tha, Chalaak Dushman ne moqa taad liya aur Chakkar kaat kar Uqab se ho kar Musalmano ko do taraf se beech me le liya, Musalamano ka us waqt Sakht Nuqsan hua aur lashkar ka bada hissa titar bitar ho gaya_,"*

*★_ Nabi ﷺ ke paas Sirf Barah Sahaba Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu, Umar Raziyallahu Anhu, Ali Raziyallahu Anhu, Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu, Sa'ad bin Waqas Raziyallahu Anhu, Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu, Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu, Abu Ubaida bin Jarrah Raziyallahu Anhu vagera they, Dushman ne Allah ke Nabi ﷺ per patthar fainke, ibne Qimiya ke patthar se Nabi ﷺ ki Peshani, ibne Shuhaab ke patthar se Nabi ﷺ ka Baazu zakhmi hua, Utba ke patthar se Nabi ﷺ ke Chaar Daa'nt toot gaye, Nabi ﷺ fir ek gaar me gir gaye, Khabar ud gayi k Huzoor ﷺ Shaheed ho gaye_,"*

*★_ Madina se Muharram Khwateen daudi daudi aayi'n, Yaha'n aa kar Fatima Batool Raziyallahu Anha ne Baap ke zakhmo ko dhoya, Peshani ka khoon na thamta tha, Usme Chata'i jala kar bhari, Ali Murtaza Raziyallahu Anhu us waqt dhaal me pani bhar kar late rahe, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha aur Umme Sulaim Raziyallahu Anha ne Mashkeeze uthaye aur zakhmiyo ko pani la la kar pilati thi'n, Maidane Jung me Sattar Sahaba Shaheed hue they, Jung ke nuqsanaat me se bada bhari Nuqsan ye tha k Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Jo Madina me bator Muallim e islam aaye they aur Jinke Waaz se Aus aur Khazraj ke Qabile imaan le aaye they, Shaheed hue,*

*★_ Isi Jung me Nabi ﷺ ke Chacha Hamza Raziyallahu Anhu ( Asadullah Wa Rasooluhu) bhi Shaheed hue, Dushman ne unke A'aza kaat kar unki laash ko bhi behurmat kiya tha, Jung ke baad Safiya Raziyallahu Anha Maadar Zuber Raziyallahu Anhu Apne Bhai Hamza ki Laash dekhne aayi'n, Zuber Raziyallahu Anhu ne Maa'n Ko door hi se roka, Safiya Raziyallahu Anha ne kaha- Mujhe maloom hai k mere Bhai ki laash bigaad di gayi aur behurmat ki gayi hai lekin ye to hamare liye Fakhr ka maqaam hai, Beta ! Mai'n na roungi na chillaungi, Sirf Dua Padh kar Waapas laut jaungi _,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 127,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot