☆
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ TOHFA E KHAWATEEN ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞99*
•═══▦☆☆▦═══•
*FAZA'ILE QUR'AN-ZIKRULLAH*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
*┱✿ Ghar mai Samaan Ki Kami Koi ayb nahi _,*
*┱_ Hazrat Sayyada Fatima Raziyallahu Anha dono Jahaan ke Sardaar ki Sabse pyaari Beti aur Jannat ki Tamaam Aurto’n ki sardaar hai’n, ghar ka kaam kaaj khud karti thi, Khane Pine ki bhi Kami rehti thi ,Ghar mai Samaan bas bahut hi mamooli tha, Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba dekha k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne zeenat ke liye umdah qism ke kapde ka parda darwaze per latka rakha hai ,to is per naraazgi ka izhaar farmaya aur irshad farmaya k ye mere ghar wale hai’n Mai’n ye pasand nahi karta k Apne hisse ki umdah cheeze isi zindgi ke andar kha le ,” ( Mishkaat)*
*┱_ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka Faqr akhtyari tha, Apne ghar walo ke liye bhi isi ko pasand farmate they, Ek martaba Hazrat Fatima Raziyallahu Anha haazire khidmat hui aur arz kiya Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam mere aur Ali Raziyallahu Anhu ke paas sirf mendhe ki ek khaal hai ,Jis per hum Raat ko sote hai’n aur Din ko us per Ount ko chaara khilate hai’n,*
*Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya– Ey meri Beti Sabr karo ,Kyunki Moosa ( Alaihissalam ) ne das ( 10 ) baras tak apni Bivi ke saath qayaam kiya aur dono ke paas sirf ek uba ( chaadar ) tha ( usi ko oadte aur usi ko bichhate they ) _,” ( Sharah Muwahibul Duniya )*
*┱_ Aap Sallallahu Alaihivasallam chahte to Apni Pyari Sahabzadi ko ek gulaam ya Baandi inayat farma dete ,magar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zarurat ka ahsaas farmaya , aur ESA Amal bataya Jo Aakhirat mai be-inteha ajro Sawab ka zariya bane, Duniya ki fana hone wali takleef Aakhirat ke be – inteha in’amaat ke muqable mai bahut hi be Haqeeqat hai,*
*┱_ Aaj Kal ki Aurte’n Khaas kar jinke Shoharo ke paas Chaar paise hai’n, Ghar ka kaam kaaj karne ko ayb samajhti hai’n, Naukar rakhe jate hai’n jinke nuqsanaat saamne aate hai’n ,Ghar ki Bahu betiya’n unke saamne aati hai’n, Sharmo hijaab ko taak per rakh diya jata hai ,Badi be Deeni ki baat hai ,*
*“_ Rivayat mai aata hai k ghar ke samaan ki Kami koi ayb aur Sharm ki baat nahi, insaan ki asal sharafat uske achchhe Akhlaaq, Umdah Awsaaf, Khuda tarsi ,Ibaadat ki pabandi, aur Taqwa v taharat ki zindgi hai , Umdah kapdo ,Bade bade banglo se Sofaset aur mez kursiyo se insaan ki koi sharafat nahi aa jati , Agar Namaz ki pabandi nahi, Zakaat nahi dete ,to ye Koi badaai nahi ,aur agar ye Sab Haraam maal se ho to fir Dozakh mai le Jane ka zariya banega, Samajhdaari yahi hai k Aakhirat ki fikr kare, Fara’iz ko poore kare, Haraam se bache , Jo Dozakh mai le Jane wale kaam kare WO kese bada Aadmi ho sakta hai ,? bada WO hai Jo Allah ki farmabardaari mai laga ho,*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref- TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
☆
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأربعاء، 1 ديسمبر 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot