☆
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ TOHFA E KHAWATEEN ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞125*
•═══▦☆☆▦═══•
*- TALEEM AUR TARBIYAT -*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
*┱✿_ Jahalat Ki Vajah se Aulaad Baap Dada Ko Na Gusl dete Hai na Janaza hi Padh Sakte_,*
*┱_Jab Baap Dada ki Maut ho jati hai to Awwal to Bete- Pote janaze ko haath lagane se ghabrate hai’n, Koi Gusl dene ko taiyaar nahi hota akhir gair log nehlate hai’n aur Baaz jagah to Kiraye ke log Gusl dete hai’n, Ghar ke log Kafan Dena bhi nahi Jaante k Kapde kitne ho aur kese pehnaye Jaye,*
*┱_ Fir Jab doosre logo ne (Jo Amuman Namazi Deendaar Hote Hai’n) nehla dhula Kar Kafan de Diya to Masjid ki taraf janaza le kar chalte hai’n Waha’n imaam Sahab se Janaza padhate hai’n halanki Shar’an Janaza padhane Ka Sabse bada Haqdaar mayyat Ka wali Hai lekin ye Wali Marne wale Ka Beta ya Pota Namaz padhane se aajiz Hai Kyunki Namaze Janaza Yaad hi nahi hoti,*
*┱_ Baaz martaba to log Jag hansayi se bachne ke liye Mayyat ke rishtedar janaze ki Saf mai khade ho Jate hai’n Magar unhe ye maloom nahi hota k padhna Kya Hai, Aur Baaz ese bhi Hote Hai’n Jo Namaz se door Alag khade rehte Hai’n, vajah Kya Hai k Apne hi khaas log Janaza padhne padhane se aajiz Hai?*
*“”__Kya iski ye vajah nahi k Hai k Marne wale ne inko Deeni taleem nahi di, Unko Deen per nahi dala, Namaz Roza nahi sikhaya, Badi badi Jaaydaade khareed Kar Aulaad Ke naam Kar di Magar is qabil bana Kar na chhoda k Baap Ka Janaza hi sahi Tor per padh leta, ( isse Sharm ki Baat aur Kya hogi ) inna lillaahi wa inna ilayhi Raaji’oun,*
*┱ _Jab Kaha Jata Hai k Aulaad ko Qur’an padhao, Deen Sikhao aur Namaz Roza per daalo to Baaz Maa’n Baap Keh dete hai’n k Apne Bachcho ko Mulla thode hi banana Hai ye to Doctor, Engineer banega, iska Matlab ye hua k Deendaar hona aur Namaz Ka paband hona be faayda Cheez Hai Aur Deendaar hona Koi ghatiya Kaam Hai ,Esi soch Hiqaarat ke laayaq Hai, Allah hifazat kare ,*
*“__ Kya Qabr mai Angrezi Ka padhna likhna Kaam aayega aur Kya Duniya ki Afsari ,Kothi Bangla Waha Nijaat dila degi, Hargiz nahi Waha to imaan aur A’amaal, Namaz Roza zikro tilawat se Kaam chalega , Agar Akhirat Haq Hai Jesa k Sab Musalman Jaante hai’n to uske Liye daud dhoop kyu nahi karte ? Aur Aulaad ko Waha ke Liye fikrmand kyu nahi banate ? Aur A’amaale Saleha per kyu nahi daalte ? Haqeeqat mai imaan v yaqeen ki kami ek Bahut bada marz Hai Jisne Akhirat se gaafil Kar rakha hai ,*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref- TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
☆
Post Top Ad
Your Ad Spot
الخميس، 30 ديسمبر 2021
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

