*﷽ *
┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
*●•SHAB E BARA'AT KI HAQEEQAT•●*
*◐ Part-15 ◐*
╥────────────────────❥
*❂ Khulasa ❂*
▦══────────────══▦
*✿_ Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne mujhse farmaya k,*
*”_ Ey Abuzar! Jab tum mahine ke 3 Roze rakho to Terhvi, Chodhvi, Pandrhvi ( 13-14-15 ) ke Roze rakha Karo,*
*↳Jamia Tirmizi,*
*✿_ 15 vi Shabaan ke Roze ki hadees bahut Zaiyf he lekin Ulema, Sulha ka qadeem Ayyam se aur Hindustan hi nahi balki bahar bhi yahi mamool he k 15 vi Shabaan ki Shab me ibadat karte he’n aur Din ko Roza rakhte he’n, is Raat ki ibadat ke mutalliq to mutaddid rivayaat he’n lekin Roze ke mutalliq sirf ek hadees he, isliye Pandrhvi (15 vi ) ke saath agar Tehrvi aur Chodhvi ( 13 -14 vi) ka Roza bhi rakh liya jaye to ye Ayyame Biyz ke Roze ho ja’enge,*
*↳ Fiqhul ibadaat, 349,*
*✿_ Sanad ke etbaar se 15 shaban ka Roza ki Rivayat Zaiyf he, Fazaile Amaal me Zaiyf hadees se istadlal durust he, Pas is Roze ko bid’at kehna durust nahi jabki iske mutalliq hadees sharif mojood he,*
*↳Fatawa Mehmudiya, 10/204,*
*✿_ 15 vi Shabaan ka Roza mustahab he agar koi rakhe to sawab he aur na rakhe to kuchh harj nahi,*
*↳Fatawa Darul Uloom Devband, 6/309,*
*✿_ Khulasa ye he k Muhaddiseen ka mashoor qa’ada he k Zaiyf hadees se Sunnat nahi to istahbaab saabit hone ke liye kaafi he, Lihaza Jo log Shaban me kasrat se Roze na rakh sakte ho, wo Mustahab samajhkar sirf 15 vi Shaban ka Roza bhi rakh sakte he’n,*
*● Wallahu Aalam ●* ╭┄┅┅◐═══◐══♡◐♡══◐═══◐┅┅┄╮
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
▉
Post Top Ad
Your Ad Spot
الاثنين، 14 مارس 2022
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

