𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 31 مارس 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post



       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

            *♡ Tohfa-e-Nikaah ♡*
            
                  *​✾ Part - 67 ✾*
❁✸❁✸❁✸❁

*✾ Nikah Tamaam Ambiya ki Sunnat hai*

✺ Mazhabe Islaam fitrat ke tamaam taqaazon ko sharayi hudood mein reh kar poora karne ki taaleem deta hai aur us ka tareeqa aur saleeqa sikhaata hai. Nikaah bhi insaani fitrat ka ahem taqaaza hai. Fitri taur par mard aur aurat ko ek doosre ki zaroorat pesh aati hai, Islaam insaan ki is zaroorat ko tasleem karta hai, isi zaroorat ko poora karne ka naam nikaah hai. yahi wajah hai ke hazrat Aadam Alaihissam se lekar Hazrat Muhammed ﷺ tak jitni shari'atein Allah Ta'ala ne utaarein, sab mein nikaah ko mazhabi ehmiyat haasil rahi.

✺ Nikaah miyaan biwi ke darmiyaan aisa mazboot ta'alluq hai ke ek baar qaaim hone ke baad agar aadmi khud na tode, to phir woh maut tak nahein tootta. Isi ta'alluq ki bunyaad par ek aurat kisi ki maa, kisi ki daadi, kisi ki naani, kisi ki phoopi, kisi ki khaala, kisi ki bahan aur kisi ki beti banti hai, Goya saare ta'alluqaat aur rishtadaariyaan nikaah ke zariya wajood mein aati hain. Agar is rishta e nikaah ko sahi taur par qaaim kiya jaaye aur phir is ke hugooq aur is ki zimmedaariyon ko sahi taur par ada kiya jaaye, to phir is mein mashgool hone nafl ibaadaton se bhi badh jaata hai. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: jis bande ne nikaah kiya, us ne apna aadha deen poora kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe ke baare mein Allah Ta'ala se dare.

[Sho'bul imaan: 5486]

✺ Isi liye Qur'aan majeed mein bahot si jagah nikaah ki targeeb di hai, Allah Ta'ala ne us ko ambiya ki sunnat aur un ka tareeqa qaraar diya hai, chunaanche Qur'aan mein hai: haqeeqat yeh hai ke ham ne tum se pehle bhi bahot se Rasool bheje hain, aur unhein biwi bachche bhi ata farmaaye hain.

[Sura e Ra'ad: 38]

✺ Isi tarah jo log apne maamooli mu'aash ki wajah se nikaah karne mein diqqat mehsoos karte the, Allah Ta'ala ne un ko bhi nikaah ki targeeb di aur hausla dilaaya ke agar aaj yeh mohtaaj hain, to Allah Ta'ala kal un ko gani bana dega.

[Sura e Noor: 32]

[[..Next - 68, Soon In Sha Allah..]]

* Ref:* Tohfa E Nikaah (DEENIYAT)
❁✸❁✸❁✸❁

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot