𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 9 مارس 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–157_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀__Zakaat ada karne ada karne wale ko ye fayda bhi hota hai k Maal ki muhabbat, Akhlaqe insani ko Magloob nahi kar sakti aur Bukhl v Amsaak ( Kanjoosi) ke Ayb se insaan paak rehta hai aur ye fayda bhi hai k Gurba v Masakeen ko wo Apni Qaum ka juzv samajhta hai aur isliye behad daulat ka jama ho jana bhi usme Takabbur aur Guroor paida nahi hone deta aur ye fayda bhi hai k Gurba ke Giroh Kaseer ko uske saath ek uns v muhabbat aur uski daulat v sarwat ke saath hamdardi v khair khwahi paida ho jati hai, Kyunki wo uske maal me Apna ek hissa mojood qaa'im samajhte hai'n, Goya Daulatmand Musalman ki daulat ek esi Company ki daulat ki misaal paida kar leti hai jisme Adna v Aala hisse ke hissedar shamil hote hai'n _,"*

*★_ Qaum ko ye fayda hai k bheek maa'ngne ki rasm Qaum se bilkul mafqood ( gayab ) ho jati hai, islam ne Masakeen ka haq Umra ki daulat me ba naam Zakaat Amwal naamiya yani Taraqqi karne wale maalo me muqarrar kiya hai jinme se Ada karna bhi nagwaar nahi guzarta, Amwal naamiya me Tijarat, Zara'at aur Maweshi ( Bhed, Bakri, Ou'nt, Gaay) naqdiyat muawin aur dafa'in Shumar hote hai'n,*

*★_ Ab ye dikhlana zaroori hai k jo naqad v Jins Zakaat se haasil ho uske mustahiq kon kon log hai'n_,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-207,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot