𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 15 يونيو 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–232_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀__ Nabi ﷺ Aksar Khamosh raha karte they, Bila zarurat nahi bola karte they, Jab bolte they to baat ka koi zaruri juz baqi na reh jata tha aur Koi Fizool lafz istemal na hota tha, Huzoor ﷺ ki Majlis Hilm v Haya aur Khayr v Amanat ki Majlis hoti thi, Tabassum hi Huzoor ﷺ ka Ha'nsna tha, Ashaab bhi Huzoor ﷺ ke Saamne Tabassum hi per iktfa karte they_," ( Shifa-11)*

*★_ Huzoor ﷺ ki Raast Goi ( Sach aur Saaf bolna ) esi Muslama ( Maanne Ke qabil ) thi k Nazar bin Haaris jesa Jaani Dushman Ek din Quresh se kehne laga k Muhammad ﷺ Bachpan hi se Tumme Sabse zyada pasandida, Sabse zyada Sachche, Sabse bad kar Amanatdaar maane jate they, Ab Jo unki Daadhi ke baal pak gaye aur Unhone Apni Taleem Tumhare Saamne pesh ki to Tumne keh diya k Wo Saahir hai, Nahi Nahi, Allah Ki Qasam ! Wo Saahir to nahi Hai'n _," ( Al Shifa -60)*

*★_ Khulasa Kalaam ye hai k Kya ese Akhlaaq Faazila ka Haadi Ese Mahasin Jamila ka Maalik, Ese Ashraaf Aqwaal Ka Sahib, Ese Jamilul Sujaya ka Mutahmil Esa hai k usse muhabbat ki jaye ? Ya esa hai k Usse Muhabbat na ki jaye ? Mai'n to yahi kahunga k jo koi ese Muhammad ﷺ, Ese Qabile Tareef , Ese Mehmmod, Ese Vajood ba Jood Ese Mustafa, Ese Barguzida se muhabbat nahi karta, Wo fil Haqeeqat in Jumla Akhlaaq v Sifaat se Muhabbat nahi rakhta aur isliye Wo khud bhi in Akhlaaq v Sifaat se muttasif hone ki Salahiyat nahi rakhta, ( Allah na kare )*

*★_ Aao ! Hum sab muhabbat kare'n aur Muhabbat karna unse seekhe, Jinko Allah ne khud Apne pyare ki Muhabbat v Sohbat ke liye Chun Liya tha, Ye Yaad rakhna chahiye k Muhabbat hi Adab v Toqeer Sikhati hai aur Muhabbat hi itteba v ita'at per Aamada karti hai, Tazeem wahi hai Jiska mansha Muhabbat ho aur ikraam wohi ikraam hai Jiska mubda (Asal, Buniyad) muhabbat ho _,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-270,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot