𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الاثنين، 6 يونيو 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*صلى الله على محمدﷺ*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–225_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Sahiheen me Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Madina me ek Raat Shor Gul sa hua, Log Samjhe Chhapa aa pada, Sab log mil kar Aabadi se baahar us Shor ki taraf ko chale, Aage Chale to Unhe Nabi ﷺ waapas hote hue mile, Huzoor ﷺ ghode per Sawaar aur Talwaar hama'il kiye hue they, Yani Awaaz sun kar sabse pehle aur Tane Tanha Tafteesh ko Tashreef le gaye they aur humse Farma rahe they - Daro nahi, Daro nahi _," ( Bukhari - 2627, Muslim - 2307, Abu Daowd 4988, Tirmizi 1685)*

*★_ Qara'ien Ko Bayte Uqba ki buniyadi mulaqaat ka Waqia to yaad hi hoga k Shab Tareek aur Manzil per Khatre Ke Khof se ek Qafila Pahaad ki ghaa'nti me Panaah lene per majboor ho jata hai aur Abaadi tak Pahunchne ki jurrat nahi karta aur Nabi ﷺ Jinki Jaan ka Dushman Makka ka ek ek Shakhs tha Ese Waqt aur Ese muqaam me isliye Chakkar laga rahe hai'n k Shayad kisi Raah se bhatke aur Zalalat ko Hidayat farma sake'n _,"*

*★_ Tamaam Duniya Ke muqabil Sachche Usool ki isha'at ke liye khade hona aur ek ese Mulk me Jaha'n Khoo'nrezi v Safa ( Khoon bahane walo) Ki hi hukumat thi, Har Ek ko Mazhabi Zalalat ka elaan karna, Kisra v Qaisar v Habsha Ke Hukmraano ki parwaah na karna Shuja'at aur Quwwate Qalb ka behatreen Namoona dikhata hai Jiski Nazeer Tareekh me milni mushkil hai _,"*

*Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-564,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://t.me/IslamicMsgofficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot