AAJ KA SAWAL No.3013 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 27 أكتوبر 2022

AAJ KA SAWAL No.3013

*JAHEZ AUR SHADI KI BURAYION KO KHATAM KARNE KE TAREEQE*

   ⭕ *AAJ KA SAWAL No.3013* ⭕

Hamare muaashare me Jahez, Nikah ke Rasm-o-Riwaj Aur Fuzool kharchiyan Phaili Huyi Hain, Unko Khatam Kaise Kiya Jaye...?

🔵 *JAWAB* 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ulama-E-Kiram ke Mashware se, Uske Chand Tareeqe Pesh Kiye Jate Hain, Har Tareeqe par Amal kar ke, Allah se Dua ka Ehtemam Kiya Jaye.

1. Ham Khud Jahez na Lene par aur saadgi se Nikah par Amal karna shuru kar den, Aise chand Hazraat shuru kar denge to Aahista-Aahista ye achcha Tariqa hamare Mu'aashare me chal padega. Log kehte Hain, Koun Amal karta hai..? Unki Talash Ham puri ho jaye.

2. Ulama-E-Kiram aur chand izzatdaar, Baa Asar Logo mil kar, Ek jamat banaye jin ke yahan shadi aanewali ho pehle hi se, Unke ghar ki khaas mulaqat Aisi karen, Jinme Aurten bhi Parde me Bathkar Unki baat sune aur Unko samjhaya Jaye.

3. Jamat aur biradariyon ke zimmedar Elaan kar den, Shadi me is par amal karna har ek ko zaroori hoga.

4. Jin baa asar aur maaldar logo ne nikah sadgi se kiye hain, Unki khoob tareef kee jaye Aur Unke is qadam aur misal ko khoob Aam kiya jaye aur pesh kiya jaye.

5. Har masjid me Teen juma tak isee mau'zua par bayan kiya jaye.

6. Jin Logon ki shadi qareeb me honewali hai, Un logon ko, Un Ghar walon ke sath bulakar Ek Roz ka Khaas Program kiya jaye Aur Unme Akabireen-Allahwalon se bayanat karaya jaye.

7. Samjhane ke Ba'wajood, Jo Naa mane Aise logon ka Boycott kiya jaye, Yani Unki Khushi Aur Gami me Aana-Jana aur Unse Baat-Cheet Wagairah Talluqat khatm kar Diya Jaye.

8. Ulama-E-Kiram aur masjid ke Imam aur Qazi Hazraat  Elaan kar den, Jo Rasm-o-Riwaj Ka Nikah Karnewala Hai, Ham Unka Nikah Nahi Padhayenge.

9. Gareeb Logon ke Infiradi aur Ijtemayi Nikah ka intizam kar ke, Sadgi se Nikah karaye Jaye, Jisme Gharelu Zindagi ke Islami Tareeqe ki Taleem bhi Dee jaye.

10. Is Mau'zua par Social Media ke Zariye Images, Audios, Videos Aur Mazaamin Upload kiye jaye Aur use Khoob Share, Forward Kiya Jaye.

و الله اعلم بالصواب

📑MUSLIM PERSONAL LAW KI TAJWEEZ SE MAKHOOZ

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

https://T.me/IslamicMsgOfficial

*जहेज़ और शादी की बुराइयां को ख़त्म करने के तरीके*

⭕ *आज का सवाल नंबर ३०१३* ⭕

हमारे मुआशरे में जहेज़, निकाह के रस्मो रिवाज और फ़ुज़ूल खर्चियाँ फेली हुई है, उन को बंध कैसे किया जाए ?

🔵 *जवाब* 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

उलामा ए किराम के मशवरे से उस के चंद तरीक़े पेश किये जाते है, हर तरीक़े पर अमल कर के अल्लाह से दुआ का एहतमाम किया जाए।

१। हम खुद जहेज़ न लेने पर और सादगी से निकाह पर अमल करना शुरू कर दे, ऐसे चंद हज़रात शुरू कर देंगे तो आहिस्ता आहिस्ता ये अच्छा तरीक़ा हमारे मुआशरे में चल पडेगा। लोग कहते कौन अमल करता है ? उन की तलाश हम पूरी हो जाए।

२। उलामा ए किराम और चंद इज़्ज़तदार, बा असर लोगो की मिल कर एक जमात बनाये जिन के यहाँ शादी आनेवाली हो, पहले ही से उन के घर की खास मुलाक़ात ऐसी करे जिन में औरते भी परदे में बेठकर उन की बात सुने, और उन को समझाया जाए।

३। जमात और बिरादरियों के ज़िम्मेदार एलान कर दे के शादी में इस पर अमल करना हर एक को ज़रूरी होगा।

४। जिन बा असर और मालदार लोगों ने निकाह सादगी से किये है उन की खुब तारीफ की जाये और उन के इस क़दम और मिसाल को खुब आम किया जाये और पेश किया जाए।

५। हर मस्जिद में तिन जुमआ तक इसी मव्जूआ पर बयान किये जाए।

६। जिन लोगों की शादी क़रीब में होनेवाली है उन लोगों को उन के घर वालों के साथ बुलाकर एक रोज़ का खास प्रोग्राम किया जाये और उन में अकाबरीन अल्लाह वालों से बयानात कराये जाए।

७। समझने के बावजूद जो न माने ऐसे लोगों का बायकाट किया जाये, यानि उन की ख़ुशी गमी में आना जाना और उन से बातचीत वगैरह ताल्लुक़ात ख़त्म कर दिए जाए।

८। उलामा किराम और मस्जिद के इमाम और क़ाज़ी हज़रात एलान कर दे के जो रस्मो रिवाज से निकाह करनेवाला है हम उन का निकाह नहीं पढायेंगे।

९। गरीब लोगों के इनफिरादि और इज्तिमाई निकाह का इंतिज़ाम कर के सादगी से निकाह कराये जाये, जिस में घरेलु ज़िंदगी के इस्लामी तरीक़े की तालीम भी दी जाए।

१०। इस मवज़ूअ पर सोशयल मीडिया के ज़रिये मेसेज,ओडीओ, वीडियो और मज़ामीन अपलोड किये जाये और उसे खुब शेयर- फॉरवर्ड किया जाए।

و الله اعلم بالصواب

📑मुस्लिम पर्सनल लॉ की तजवीज़ से माखूज़

و الله اعلم بالصواب


✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन.
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

*JAHEZ AUR SHADI KI BURAIYON KO KHATM KARNE KE TAREEQE*

   ⭕ *AAJ KA SAWAL No.3013* ⭕

Hamare muaashare me Jahez, Nikah ke Rasm-o-Riwaj Aur Fuzool kharchiyan Phaili Huyi Hain, Unko Khatm Kaise Kiya Jaye...?

🔵 *JAWAB* 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ulama-E-Kiram ke Mashware se, Uske Chand Tareeqe Pesh Kiye Jate Hain, Har Tareeqe par Amal kar ke, Allah Taala se Dua ka Ehtemam Kiya Jaye.

1. Ham Khud Jahez na Lene par aur saadgi se Nikah par Amal karna shuru kar den, Aise chand Hazraat shuru kar denge to Aahista-Aahista ye achcha Tariqa hamare Mu'aashare me chal padega. Log kehte Hain, Koun Amal karta hai..? Unki Talash Ham se poori ho jayegi.

2. Ulama-E-Kiram aur chand izzatdaar, Baa Asar Logon se mil kar Ek jamaat banaye, jin ke yahan shadi aanewali ho pehle hi se Unke ghar ki khaas mulaqat Aisi karen: Jinme Aurten bhi Parde me Baith kar Unki baat sunen aur Unko samjhaya Jaye.

3. Jamaat aur biradariyon ke zimmedar Elaan kar den, Shadi me is par amal karna har ek ko zaroori hoga.

4. Jin baa asar aur maaldar logon ne nikah sadgi se kiye hain, Unki khoob tareef kee jaye Aur Unke is qadam aur misaal ko khoob Aam kiya jaye aur pesh kiya jaye.

5. Har masjid me Teen juma tak isee mau'zoo par bayan kiya jaye.

6. Jin Logon ki shadi qareeb me honewali hai, Un logon ko, Unke Ghar walon ke sath bulakar Ek Roz ka Khaas Programme kiya jaye Aur Unme Akabireen-Allahwalon se bayanat karaye jayen.

7. Samjhane ke Ba'wajood, Jo Naa mane Aise logon ka Boycott kiya jaye, Yani Unki Khushi Aur Gami me Aana-Jana aur Unse Baat-Cheet Wagairah Talluqat khatm kar Diye Jayen.

8. Ulama-E-Kiram aur masjid ke Imam aur Qazi Hazraat  Elaan kar den, Jo Rasm-o-Riwaj Ka Nikah Karnewala Hai, Ham Unka Nikah Nahi Padhayenge.

9. Gareeb Logon ke Infiradi aur Ijtemaee Nikah ka intizam kar ke, Sadgi se Nikah karaye Jayen, Jisme Gharelu Zindagi ke Islami Tareeqe ki Taleem bhi Dee jaye.

10. Is Mau'zoo par Social Media ke Zariye Images, Audios, Videos Aur Mazaamin Upload kiye jayen Aur use Khoob Share, Forward Kiya Jaye.

و الله اعلم بالصواب

📑MUSLIM PERSONAL LAW KI TAJWEEZ SE MAKHOOZ

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India.

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot