✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 17 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Nabi Aur Rasool ✾*
❧ Nabiyon mein sab se pehle Hazrat Aadam Alaihissalam aur sab se aakhir mein hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ tashreef laaye. Chand mashhoor Nabiyon ke naam ye hain:
Hazrat Aadam Alaihissalam,
Hazrat Nooh Alaihissalam,
Hazrat Idrees Alaihissalam,
Hazrat Ibrahim Alaihissalam,
Hazrat Ismail Alaihissalam,
Hazrat Yaqoob Alaihissalam,
Hazrat Yusuf Alaihissalam,
Hazrat Moosa Alaihissalam,
Hazrat Dawood Alaihissalam,
Hazrat Sulaimaan Alaihissalam,
Hazrat Isa Alaihissalam aur
Hazrat Muhammad ﷺ.
📓[Sura-e-Ambiya: 48,85; Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 135 meem]
❧ Ambiyaa-e-Kiraam aur Rasoolon ki taadaad ke muta'alliq sahi aqeeda ye hai ke un ki koi khaas taadaad muqarrar na ki jaaye, balke ye aqeeda rakha jaaye ke duniya mein Allah Ta'ala ke bahot se Nabi aur Rasool aaye hain, sab apna apna tableeg ka fareeza ada kar ke chale gaye, sab par Imaan laana farz hai, un mein tafreeq karna yaani baaz ko maanna aur baaz ko na maanna kufr hai.
📓[Sura-e-Baqarah: 285; Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 138 meem]
*[[..Next - 18, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
الجمعة، 28 أكتوبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot