Aqaaid Part - 18 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

السبت، 29 أكتوبر 2022

Aqaaid Part - 18

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 18 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

           *✾  Aakhirat  ✾*

❧ "Yaum-e-Aakhirat" ke maana baad mein aane waale din ke hain, duniya ki zindagi ke baad Aakhirat ki zindagi shuru hogi, jo kabhi khatm na hogi; us zindagi ko Islaami Shareeat mein "Aakhirat" kehte hain.

📓 [Tafseer Ibne Kaseer: 1/59]

❧ Duniya imtehaan ki jagah hai, duniya mein banda jo bhi achche ya bure aamaal karta hai, un ka Aakhirat mein use poora poora badla diya jaayega.

❧ Qur'aan mein hai: Chunaanche jis ne zarra baraabar koi achchaai ki hogi, woh use dekhega aurjis ne zarra baraabar koi buraai ki hogi, woh use dekhega.

📓 [Sura-e-Zilzaal: 7,8]

❧ Aakhirat par Imaan laana Imaan ka ek ahem juzw hai, Aakhirat par Imaan laane ka matlab ye hai ke is duniya ki zindagi ke baad ek aur zindagi hai, wahaan insaan ko is duniya mein kiye huwe bure aamaal ki saza aur bhale aamaal ki jaza milegi; Malakul Maut ka rooh qabz karna aur marne ke baad murde se Munkar Nakeer ka sawaal wa jawaab barhaq hai.

*[[..Next - 19, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot