Aqaaid Part - 19 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 30 أكتوبر 2022

Aqaaid Part - 19

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 19 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

            *✾  Aakhirat  ✾*

❧ Qayaamat ki alaamaton ka ek ek kar ke paaya jaana aur us ke baad Qayaamat ka aana yaqeeni hai. Tamaam murdon ka dobaara zinda ho kar Maidaan-e-Hashr mein jama hona, hisaab wa kitaab hona, meezaan ka qaaim hona aur aamaal naamon ka wazan kiya jaana bilkul sach hai. Pul Siraat se guzarna, us ka baal se ziyaada baareek aur talwaar se ziyaada tez hona, Imaan waalon ka us par tezi se guzar jaana aur kaafiron ka Jahannam mein gir jaana haqeeqat hai. Jannat aur us mein tarah tarah ki nematein aur Dozakh aur us mein hone waali takleefein barhaq hain.

📓[Sharahul Aqeedatit Tahawiyya Li Saaleh bin Abdul Azeez: 1/429; Attauheed Linnnaashiati wal mubtadieen Li Abdil Azeez bin Muhammad: 1/68]

❧ Aakhirat ke baare mein Qur'aan wa Hadees mein jin jin baaton ko zikr kiya gaya hai un tamaam par Imaan laana aur un ke muta’alliq bataai hui baaton ko sachcha jaanna zaroori hai.

*[[..Next - 20, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot