JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝37 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 30 أكتوبر 2022

JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝37

✾⊙✿

  *⚀_вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм _,⚀*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

    *👀_ JAB AA'NKH KHULEGI _👀*

                  *▒ ℘AЯT↝37 ▒*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

*⊙:➻ Us Waqt Ka Rona Koi Kaam nahi dega _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Aaj Tum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar bhi us per yaqeen nahi karte, Tab ( Jab Maut aayegi ) Aankh se dekh kar Yaqeen la doge , aur us waqt koi ilaaj kaar nahi  hoga,*
*○_ Hadees Sharif mai aata hai k :- Dozakhi log ek hazaar Saal tak Aansuo'n ke saath royenge, ek hazaar Saal tak Aankho se Khoon niklega ,aur ek hazaar Saal tak Peep nikalti rahegi _,"*

*✪_ Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar tum usko Mullaiyat kehte ho ( Mullo ki baat keh kar mazaaq banate ho ) Zara waqt aane do _" Is gubaar ko chhat Jane do ,Tumhe maloom ho jayega k tumhare niche Ghoda tha Ya Ghadh tha,*

*✪_ Garz ye k Jitna Jitna Kisi ka nafa hai, Aadmi usse utna hi talluq rakhe, Aqal ka qaayda yahi hai aur is Aqal ka hum duniya mai istemal bhi karte hai'n, Lekin Aakhirat ke maamle mai Hamari Aqal kaha'n chali jati hai ? Aqal ke saamne andhera Kyu aa jata hai ?*

*✪_ Aqal ki misaal esi hai Jese Aankho ki Roshni, Ye andar ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Baahar bhi Roshni ho, Dekhne ke liye hum Do Roshniyo'n ke mohtaaj hai'n, Aqal ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Dil mai hodayat ki Roshni bhi ho, Noore Hidayat bhi ho aur humne to Chiraage Hidayat Foonk maar kar bujha diya, Aakhirat ke maamle mai hum bilkul andhe ho gaye hai'n, Duniya ke maamle mai to Hamari Aqal bahut kaam karti hai, Aakhirat ke maamle mai Kyu kaam nahi karti ? Kese kare ? Dekhe kese ? WO to Noore Nabuwat rehnumayi karega to Hamari Aqal bhi dekhegi,*        

*🗂️_ Jab Aa'nkh Khulegi _56,(Hazrat Yusuf Ludhiyanvi Shaheed Reh.)*
          •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
https://T.me/IslamicMsgOfficial
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵🎗✨🎗⚵

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot