JUMMA KE DIN KI AHMIYAT AUR FAZILAT - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Friday, October 28, 2022

JUMMA KE DIN KI AHMIYAT AUR FAZILAT

☆❉
    ☆❉
╭•═════•✭﷽✭•════•╮

✴☛ °  *JUMMA KE DIN KI AHMIYAT AUR FAZILAT* °

╭•◆•Jumma  ko ‘Sayyedul Ayyam’ kaha jata hai Ya’ni Hafte ke sab dino ka sardar.

╭•◆•Jumma sab se afzal din hai aur is me mo’min ki dua ALLAH ta’ala jaldi qubool karta hai aur uski rehmato ki baarish khas aur ziyada hoti hai.

╭•◆•Jumma ki kuch khas fazeelaten hain

╭•◆• Mahfum-e-Hadees: RasuLuLLah ﷺNe Farmaya Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har Ghante  Me Allah Ta’ala 6lakh Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai,

☛📒 ° *[ Abu Ya’ala. ]* °

╭•◆Mahfum-e-Hadees:
 Rasool’Allah ﷺ ne farmaya:
‘‘ Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Jumma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Jumma ke Din Qayem hogi.’’

☛📒 ° *[ Muslim: al Jumma 854 ]* °

╭•◆• Mahfum-e-Hadees: RasuLuLLah ﷺNe Farmaya jo Shakhs Jumma Se Pehle aur Jumma ke baad 4 Rakat Pabndi se Padhega Allah Uss Par Dozakh ki Aag Haram farma dete he

☛📒 ° *[ Masaile Jumma: 268 ]* °

╭•◆• Mahfum-e-Hadees: RasuLuLLah ﷺ Ne Farmaya
Aye Musalmano Ke Giroh ! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya Hai.

☛📒 ° *[ Mishkat Hadees No 123 ]* °

╭•◆• Mahfum-e-Hadees:  Abdullah bin amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis musalman ki wafat Juma ke din ya Juma ki raat ko hoti hai usko Allah subhanhu Qabr ke fitne se mehfooz rakhta hai

☛📒 ° *[ Jamia Tirmizi, Vol 1, 1063-Hasan ]* °

╔┅┅┐
◉      ⚀⊙:➻┐
               📃→ *_pαdhє_*
       📿→ *_αmαl kαrє_*
👥→ *_duѕrσ tαk pαhσchαчє_*
*_👇🏾Download Application 👇🏾_*

  ┐✭  ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭┌

⚪◉➻═══════════════╕
 °  *_JUMMA KE DIN KE AAMAL_* °

╭•┄┅━━━━━━━━━━━━━━━━▣▣▣
🍁 *_JUMMA K DIN 6 KAAM PAR NAFAL ROZE OR NAMAZ KA SAWAB_*🍁

🍂 _Jumma ka Din kya  Hi_
_Mubarak or Fazilat Ka Din he Jumma ke Din ki Barkat Dekhiye ke Jisne Jumma ke Din Nihayat Aasan or Sahal 6 Kaam kiye Usko Ek Saal Nafal Rozo or Ek Saal Nafal Namazo Ka Sawab Har Har Kadam Par Milta He._

🌿 _Wo 6 Amal(Kaam) Ye He:_
*_(1)Gusal Karna(Nahana)_*
*_(2) Masjid Me Jaldi Jana_*
*_(3)Paidal Jana_*
*_(4)Imam Ke Karib Bethna_*
*_(5)Koi Lagv(Bekar) Kaam Na Karna_*
*_(6)Khutba Gour Se Sunna_*
📚 *_(Tirmizi :49, Nasai :138, Abu Daud :345, Ahmed :6954)_*

🍁 *_JUMMA KE DIN KI SUNNATE_* 🍁

🍃 *_GUSL KARNA GUNAH MAAF_*
🍂 _Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anh ka irshad naqal karte hai’n ke RasuLuLLah ﷺ Ne Farmaya_

*” Jumma ke din gusl karna Gunaaho ko Baalo ki Jado se Soont kar nikaal deta he “*
📚° *_Kanzul Amaal- 7/ 754_* °
🌿 _Mafhume hadis RasuLuLLahﷺ Ne Farmaya_
_Musalman ke zaruri he ke Gusl kare khusbhu ka Istemaal Kare apne pass Na hoto Ghar waalo Se lekar Istemaal kar le_
📚 ° *_RAWAHOO AHMAD / 16445_* °

🍃 *_JUMMA KE DIN KHAS LIBAS PEHNNA_* 🍂
_Hazrat maa Aaisha Razi Allahu Taala_  _anha Bayan Krti he ke_
_RasuLuLLahﷺ  ke Pass Do kapde The Jisse Aap ﷺ Jumma Ke Din Pehanate the Fir Jab Wapas Tashrif laate To Usko Lapet kar Rakh dete the_
📚 ° *_Al Mutalibul Aaliya / 746_* °

🍁 *_JUMMA KE DIN NAAKHUN KAATNA_*
🍃 _Hazrat ibne Abbas Razi Allahu Ta'ala anhu se marvi he_
_Jumma ke din naakhun_ _kaatna shifa ka baais he aur bimari ko dur bhagaata he._
📚 ° *_Kanzul Ommal_* / *_17258_* °

🍃 _Hazrat Aisha Razi Allahu Ta'ala anha se marvi he ke jis ne Jumma ke din naakhun kaatey_
_wo Aaindah Jumma tak Na'gawaar Haalat se mahfuz rakha jaeyga._
📚° *_Kanzul Ommal / 17241_* °

🍁 *_Azaan -E- Jumma k baad_*
    *_Duniyavi kaam Chhod dena_* 🍁

                    *_Quran me Allah Ta'ala farmate he_*

ﻳَٰٓﺄَﻳُّﻬَﺎ ٱﻟَّﺬِﻳﻦَ ءَاﻣَﻨُﻮٓا۟ ﺇِﺫَا ﻧُﻮﺩِﻯَ ﻟِﻠﺼَّﻠَﻮٰﺓِ ﻣِﻦ ﻳَﻮْﻡِ ٱﻟْﺠُﻤُﻌَﺔِ ﻓَﭑﺳْﻌَﻮْا۟ ﺇِﻟَﻰٰ ﺫِﻛْﺮِ ٱﻟﻠَّﻪِ ﻭَﺫَﺭُﻭا۟ ٱﻟْﺒَﻴْﻊَ ۚ ﺫَٰﻟِﻜُﻢْ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟَّﻜُﻢْ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥ
_"Ay imaan walo ! Jumma k Din Jumma k liye Jumma ki namaz k liye azaan Di jaye , To sab ke sab allah ki taraf dod Pado or kharid wah Frokht Chhod do ! Yah Tumhare Liye behtar he, Agar Tum Jante ho" !_
▶ *_Khulasa_* : *_Jumma ki azan sunne ke baad Fauran Jumma ke liye ta

iyari karn

a aur saare dunyavi kaam kaaj chhod dena zaruri he_*

🍁 *_KHUTBA  DHYAN SE SUNNE 10 DIN KE GUNAH MAAF_*🍁
_RasuLuLLahﷺ Ne Farmaya jiss ne achi Tarah wuzu kiya ,Fir jumma ki namaz ke liye aaya Aur khamoshi se khub gaur se  khutba suna , To dono jumma ke darmiyan aur Majid teen din *( yaani kul das din )* uski magfirat kardi jaati he aur jisne (khutba ke dauran ) kankari ko bhi chhua to usne lagv ( yaani bekar aur batil ) kaam kiya_
📚 ° *_Muslim / 1988_* °

🍁 *_JUMMA SE AGLE JUMMA TAK GUNAH SE KAFFARA_*🍁
🍃 _Abu Huraira Razi allahu taala anhu se rivayat hai ki RasuLuLLahﷺ ne farmaya Pancho namazein aur (ek) Jumma (dusre) jumma tak ka kaffara hai *(un gunaho se)* jo inke darmiyan ho jate hain jab tak ki koi kabira gunah na kare_
📚° *_Sahih Muslim, Jild1 , 550_* °
*_👇🏾Join Telegram Channel👇🏾_*
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
╰•┄┅━━━━━━━━━━━━━━━━▣▣▣
╔┅┅┅┐
╚════▤▤▤▤▤▤▤◉┅┄╮

  ┐✭  ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭┌    

⚪◉➻═══════════════╕
 °  *_JUMMA KE DIN KE FAZAYIL_* °

╭•┄┅━━━━━━━━━━━━━━━━▣▣▣

🍁 *_JAB JUMMA KA DIN AATA HE_*🍁

🌻 _Hazrat Abu Hurairah_ _Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab Jumma ka din hota hai to farishte masjid ke darwaze par  khade ho jate hain aur pahle aane wale Name pahle uske baad aane wale ka naam Uske Baad likhte he *( Issi Tarah Aane wale ka name uski Tartib se Likhte he)* Jo Shakhs Jumma ki  Namaz ke liye Sawere jata he Use Unt Sadka karneka ka Sawab milta he, uske Baad aane wale ko Gaay Sadka Karne ka sawab Milta he, uske Baad aane wale ko Mendha,  uske baad wale ko Murgi, Uske baad wale ko anda Sadka karne ka Sawab milta he, Jab Imaam Khutba dene ke liye Aata he farishte Apne woh Razishter jinme aane wale ka name likhhe gaye he Lapet Dete he Aur Khutba sunne me mashgul ho jate he_

📚 ° *_Bukhari / 928)_* °

🍁 *_JUMMA KE DIN KI FAZILAT PICHHLI UMMAT SE ZYADA_* 🍁

🌻 _Rasoolullah ﷺ Ne irshaad Farmaya_
_Allah Ta'ala ne Hamko Jumma Ka din dekar Pichhli Ummat par Fazilat di he, Yahudi O ko Shanivar *(Saturday)* diya, Isaio ko Ravivar *(Sunday)* Diya Woh Log Qayamat Tak Hamse Pichhe Rahege Ham Duniya me sabse Aakhir aaye aur Qayamat ke din hamari Magfirat Sabse Pahle Hogi_

📚 ° *_Muslim, Rahmate ilahike Khazane / safa 116/117)_* °

🍁 *_NAMAZE JUMMA KE LIYE PAIDAL JAANE KI FAZILAT_* 🍁

🌻 _Yajid Bin Abi maryam_ _Rahmatullahi Alaih Farmate he Ke Me Jumma ki  Namaz  ke  liye  paidal jaa Raha tha ke Hazrat  Abaya bin  Rafi_ _Rahmatullahi Alaih Muje Mil gaye aur farmane lage :_ _Tumhe Khush - Khabri ho ke Tumhare  Yeh kadam Allah Ta'ala  ke Raste me he._
_mene  Abu  Abs Razi allahu  Ta'ala anhu se  Yeh farmate hua suna he ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya :Jiske Kadam Allah Ke Raste me Gubar - Aalud  ho ( gande) Hue to Woh kadam Dozakh Ki Aag par Haraam he_

📚 ° *_Tirmizi / 1632)_* °

🍁 *_JUMMA KE DIN JALD MASJID JANE KI FAZILAT 🍁_*

🌻 _Rasoolullah ﷺ Ne irshaad Farmaya Jumma ki hazri me jo Tartib hogi Wahi Tartib se allah ke Pass bithaya jayega, Lekin Jo pehle aaya Woh Woh Qayamat me Allah se Bilkul karib hoga, Dusra Dusre number par, Tisra Tisre number par,  Chotha Number wala bhi Allah se Ziyada dur Na Hoga_

📚 ° *_Ibne Mazah, Rahmate ilahike Khazane / safa 113)_* °

🍁 *_JUMMA KE DIN DUA QABUL KE LIYE KHAS WAQT_* 🍁

🌻 _Hadis ka Mafhum: Abu hurairah razi allahu Ta'ala anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ  ne farmaya jumma mein ek ghadi aisi aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega_

📚 ° *_Sahih Bukhari, Jild 6, 5294_* °

🌻 Anas bin malik Razi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jumma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo🌻
📚 ° *_Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471_* °

 🍁 *_MAA-BAAP KI KABR KI ZIYART PAR GUNAH MAAF_*  🍁

🌻 _RasuLuLLahﷺ ne irshaad farmaya:_
_Jis shakhs ne apney walidein ya dono me se kisi Aik ki Qabr ki har Jumaa ko ziyarat ki,_
_to us ki magfirat kar di jaeygi,_
_aur usey neik suluk karney wala likha jaeyga._

📚 ° *_Tabrani / 955_* °

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot